Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ghazal kahte hain ek kaifiyyat tari kar lete hain

Farhat Ehsas

ek ghazal kahte hain ek kaifiyyat tari kar lete hain

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    ek ġhazal kahte haiñ ik kaifiyyat taarī kar lete haiñ

    yuuñ duniyā par aglī chaḌhā.ī tayyārī kar lete haiñ

    kitnī mohabbat kartā hai vo kaise kaheñ gar pūchh le koī

    so a.adād-o-shumār ḳhātir zaḳhm-shumārī kar lete haiñ

    us ke ḳhvāb uThā.e nahīñ uThte halkī-phulkī āñkhoñ se

    aise meñ ham rāteñ jaag ke palkeñ bhārī kar lete haiñ

    bahut ziyāda sehat-mandī ek tarah be-adabī hai

    us se milne jaate haiñ to kuchh bīmārī kar lete haiñ

    jab bhī lahū meñ rañg-e-ḳhizāñ saḳhtī baḌhne lag jaatī hai

    chand lab o ruḳhsār bulā kar jashn-e-bahārī kar lete haiñ

    sabza-e-jāñ ke harā-bharā rahne ek yahī sūrat hai

    sūkhā paḌte āñkhoñ nahreñ jaarī kar lete haiñ

    itnā maal kahāñ ki dukāñ bāzār-e-mohabbat meñ le paa.eñ

    chhoTā-moTā kārobār-e-tah-bāzārī kar lete haiñ

    ātish-e-shauq sivā karne ko muñh phere rahte haiñ us se

    ham se sāda-lauh bhī aksar ye hushyārī kar lete haiñ

    naḳhl-e-umīd harā ho jaatā hai aksar bārān-e-karam se

    so ham aksar us ke dar par ḳhud ko bhikārī kar lete haiñ

    vo sirf ek ke paas rah ke chalā jaa.e to ḳhair nahīñ hai

    ruuh o badan aise mauqoñ par mārā-mārī kar lete haiñ

    paañv havā jaise haiñ hamāre jin naqsh nahīñ rah paatā

    shādī-shuda har rāhguzar kuchh din meñ kuñvārī kar lete haiñ

    afsar-e-duniyā saḳht sahī 'farhat-ehsās' haiñ āḳhir ham bhī

    daftar meñ bhī apnī kuchh kār-guzārī kar lete haiñ

    ek ghazal kahte hain ek kaifiyyat tari kar lete hain

    yun duniya par agli chaDhai ki tayyari kar lete hain

    kitni mohabbat karta hai wo kaise kahen gar puchh le koi

    so aadad-o-shumar ki KHatir zaKHm-shumari kar lete hain

    us ke KHwab uThae nahin uThte halki-phulki aankhon se

    aise mein hum raaten jag ke palken bhaari kar lete hain

    bahut ziyaada sehat-mandi ek tarah ki be-adabi hai

    us se milne jate hain to kuchh bimari kar lete hain

    jab bhi lahu mein rang-e-KHizan ki saKHti baDhne lag jati hai

    chand lab o ruKHsar bula kar jashn-e-bahaari kar lete hain

    sabza-e-jaan ke hara-bhara rahne ki ek yahi surat hai

    sukha paDte hi aankhon ki nahren jari kar lete hain

    itna mal kahan ki dukan bazar-e-mohabbat mein le paen

    chhoTa-moTa karobar-e-tah-bazari kar lete hain

    aatish-e-shauq siwa karne ko munh phere rahte hain us se

    hum se sada-lauh bhi aksar ye hushyari kar lete hain

    naKHl-e-umid hara ho jata hai aksar baran-e-karam se

    so hum aksar us ke dar par KHud ko bhikari kar lete hain

    wo sirf ek ke pas hi rah ke chala jae to KHair nahin hai

    ruh o badan aise mauqon par mara-mari kar lete hain

    panw hawa jaise hain hamare jin ka naqsh nahin rah pata

    shadi-shuda har rahguzar kuchh din mein kunwari kar lete hain

    afsar-e-duniya saKHt sahi 'farhat-ehsas' hain aaKHir hum bhi

    daftar mein bhi apni si kuchh kar-guzari kar lete hain

    Source:

    Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 129)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now