Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin

Sahba Waheed

ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin

Sahba Waheed

MORE BYSahba Waheed

    ek maiñ huuñ ek hai bā-ḳhabar koī nahīñ

    haath meñ de haath apnā sar-ba-sar koī nahīñ

    shaam mushfiq hai qarīb aa dard darmāñ kareñ

    raat ke sahrā meñ apnā chāra-gar koī nahīñ

    ret ke siine pe rah rah kar chamak uThtā hai kuchh

    ab ba-juz ik naqsh-e-pā ke rāhbar koī nahīñ

    moḌ ke baa.eñ taraf hai sañg andāzoñ shahr

    dil ā.īna na le shīshagar koī nahīñ

    jaane ye aaseb hai kis sadā dar-ba-dar

    maiñ yahāñ huuñ maiñ yahāñ huuñ dīda-var koī nahīñ

    DhūñDte phirte ho kis ko chāñd mash.al liye

    zindagī ik fāsla hai muntazar koī nahīñ

    ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin

    hath mein de hath apna sar-ba-sar koi nahin

    sham mushfiq hai qarib aa dard ka darman karen

    raat ke sahra mein apna chaara-gar koi nahin

    ret ke sine pe rah rah kar chamak uThta hai kuchh

    ab ba-juz ek naqsh-e-pa ke rahbar koi nahin

    moD ke baen taraf hai sang andazon ka shahr

    dil sa aaina na le ja shishagar koi nahin

    jaane ye aaseb hai kis ki sada ka dar-ba-dar

    main yahan hun main yahan hun dida-war koi nahin

    DhunDte phirte ho kis ko chand ki mashal liye

    zindagi ek fasla hai muntazar koi nahin

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-062) (Pg. ebook-49 page-51)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now