Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mehman ka hijr tari hai

Fahmi Badayuni

ek mehman ka hijr tari hai

Fahmi Badayuni

MORE BYFahmi Badayuni

    ek mehmāñ hijr taarī hai

    mezbānī mashq jaarī hai

    sirf halkī be-qarārī hai

    aaj raat dil pe bhārī hai

    koī panchhī koī shikārī hai

    zinda rahne jañg jaarī hai

    bas tire ġham ġham-gusārī hai

    aur kyā shā.erī hamārī hai

    aap karte haiñ shabnamī bāteñ

    aur mirī pyaas reg-zārī hai

    ab kahāñ dasht meñ junūñ vaale

    jis ko dekho vahī shikārī hai

    mere aañsū nahīñ haiñ lā-vāris

    ik tabassum se rishte-dārī hai

    ek mehman ka hijr tari hai

    mezbani ki mashq jari hai

    sirf halki si be-qarari hai

    aaj ki raat dil pe bhaari hai

    koi panchhi koi shikari hai

    zinda rahne ki jang jari hai

    bas tere gham ki gham-gusari hai

    aur kya shaeri hamari hai

    aap karte hain shabnami baaten

    aur meri pyas reg-zari hai

    ab kahan dasht mein junun wale

    jis ko dekho wahi shikari hai

    mere aansu nahin hain la-waris

    ek tabassum se rishte-dari hai

    Source:

    Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 99)

    • Author: Fahmi Badayuni
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now