aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sajda KHush-gulu ke aage sahwan ho gaya

Kavish Badri

ek sajda KHush-gulu ke aage sahwan ho gaya

Kavish Badri

MORE BYKavish Badri

    Interesting Fact

    Vol 134, July-September 1984

    ek sajda ḳhush-gulū ke aage sahvan ho gayā

    us pe koī mo'tariz hogā to qasdan ho gayā

    kufr fatvā huā sādir to ḳhush-qismat thā maiñ

    tazkira merā bhī har masjid meñ zimnan ho gayā

    ānan-fānan meñ kisī ne dast-gīrī mirī

    kaam thā mushkil ahlan aur sahlan ho gayā

    tauan-o-karhan baḌhāte haiñ mulāqātoñ ko haath

    sab se yārāna mirā mauqūf qat.an ho gayā

    ḳhvāb is baar dekhā thā kabhī maiñ ne jise

    dū-badū us se tasādum ittifāqan ho gayā

    mustahiq jannat ik 'kāvish' nahīñ vo bhī to hai

    qatl merā ek jāhil se jo shar.an ho gayā

    ek sajda KHush-gulu ke aage sahwan ho gaya

    us pe koi mo'tariz hoga to qasdan ho gaya

    kufr ka fatwa hua sadir to KHush-qismat tha main

    tazkira mera bhi har masjid mein zimnan ho gaya

    aanan-fanan mein kisi ne dast-giri ki meri

    kaam tha mushkil ka ahlan aur sahlan ho gaya

    tauan-o-karhan baDhate hain mulaqaton ko hath

    sab se yarana mera mauquf qatan ho gaya

    KHwab hi is bar dekha tha kabhi main ne jise

    du-badu us se tasadum ittifaqan ho gaya

    mustahiq jannat ka ek 'kawish' nahin wo bhi to hai

    qatl mera ek jahil se jo sharan ho gaya

    Source:

    Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1571)

    • Author: Shamsur Rahman Faruqi
      • Edition: June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
      • Publisher: Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad
      • Year of Publication: June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now