Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek to nainan kajrare aur tis par Dube kajal mein

Jan Nisar Akhtar

ek to nainan kajrare aur tis par Dube kajal mein

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    ek to naināñ kajrāre aur tis par Duube kājal meñ

    bijlī baḌh jaa.e chamak kuchh aur bhī gahre bādal meñ

    aaj zarā lalchā.ī nazar se us ko bas kyā dekh liyā

    pag-pag us ke dil dhaḌkan utrī aa.e paa.el meñ

    pyāse pyāse naināñ us ke jaane paglī chāhe kyā

    taT par jab bhī jaave soche nadiyā bhar luuñ chhāgal meñ

    sub.h nahāne juuḌā khole naag badan se aa lipTeñ

    us rañgat us ḳhushbū kitnī miltī sandal meñ

    gorī is sansār meñ mujh ko aisā terā ruup lage

    jaise koī diip jalā ho ghor añdhere jañgal meñ

    pyaar yuuñ har buuñd jalā maiñ ne apne siine meñ

    jaise koī jaltī māchis Daal de kar botal meñ

    aaj pata kyā kaun se lamhe kaun tūfāñ jaag uThe

    jaane kitnī dard sadiyāñ guuñj rahī haiñ pal pal meñ

    ek to nainan kajrare aur tis par Dube kajal mein

    bijli ki baDh jae chamak kuchh aur bhi gahre baadal mein

    aaj zara lalchai nazar se us ko bas kya dekh liya

    pag-pag us ke dil ki dhaDkan utri aae pael mein

    pyase pyase nainan us ke jaane pagli chahe kya

    taT par jab bhi jawe soche nadiya bhar lun chhagal mein

    subh nahane juDa khole nag badan se aa lipTen

    us ki rangat us ki KHushbu kitni milti sandal mein

    gori is sansar mein mujh ko aisa tera rup lage

    jaise koi dip jala ho ghor andhere jangal mein

    pyar ki yun har bund jala di main ne apne sine mein

    jaise koi jalti machis Dal de pi kar botal mein

    aaj pata kya kaun se lamhe kaun sa tufan jag uThe

    jaane kitni dard ki sadiyan gunj rahi hain pal pal mein

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 105)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now