aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faraaz-e-dar pe ek din saja ke dekh hamein

Muzaffar Razmi

faraaz-e-dar pe ek din saja ke dekh hamein

Muzaffar Razmi

MORE BYMuzaffar Razmi

    farāz-e-dār pe ik din sajā ke dekh hameñ

    hamīñ haiñ ahl-e-vafā aazmā ke dekh hameñ

    ham ek naqsh-e-mohabbat haiñ tere dāman par

    miTā sake to zamāne miTā ke dekh hameñ

    hameñ bujhā ke andheroñ meñ kyuuñ bhaTaktā hai

    charāġh-e-rāh the ham phir jalā ke dekh hameñ

    tujhe bhulāne vaada to kar liyā ham ne

    magar ye shart hai bhī bhulā ke dekh hameñ

    ham ahl-e-fan to shagūfe haiñ rañg o nik.hat ke

    kisī gulāb sūrat ugā ke dekh hameñ

    rulā ke ham ko sunā hai ki bhī rotā hai

    hamāre sāmne aa phir rulā ke dekh hameñ

    nazar na ā.eñge ham qahqahoñ mahfil meñ

    jo dekhnā hai to aañsū bahā ke dekh hameñ

    hamāre ḳhvāb-e-bahārāñ aabrū rakh le

    kisī kalī tarah muskurā ke dekh hameñ

    har ek ġham ko isī zid meñ bhuul jā.ūñgā

    vo kah rahe haiñ ki 'razmī' bhulā ke dekh hameñ

    faraaz-e-dar pe ek din saja ke dekh hamein

    hamin hain ahl-e-wafa aazma ke dekh hamein

    hum ek naqsh-e-mohabbat hain tere daman par

    miTa sake to zamane miTa ke dekh hamein

    hamein bujha ke andheron mein kyun bhaTakta hai

    charagh-e-rah the hum phir jala ke dekh hamein

    tujhe bhulane ka wada to kar liya hum ne

    magar ye shart hai tu bhi bhula ke dekh hamein

    hum ahl-e-fan to shagufe hain rang o nikhat ke

    kisi gulab ki surat uga ke dekh hamein

    rula ke hum ko suna hai ki tu bhi rota hai

    hamare samne aa phir rula ke dekh hamein

    nazar na aaenge hum qahqahon ki mahfil mein

    jo dekhna hai to aansu baha ke dekh hamein

    hamare KHwab-e-bahaaran ki aabru rakh le

    kisi kali ki tarah muskura ke dekh hamein

    har ek gham ko isi zid mein bhul jaunga

    wo kah rahe hain ki 'razmi' bhula ke dekh hamein

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    faraaz-e-dar pe ek din saja ke dekh hamein Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now