aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur

Riyaz Khairabadi

fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    fariyād-e-junūñ aur hai bulbul fuġhāñ aur

    sahrā zabāñ aur hai gulshan zabāñ aur

    kaT jaa.e zabāñ terī to ho garm zabāñ aur hai

    allāh ne hai tujhe ai sham.a zabāñ aur

    jannat bhī hai dozaḳh bhī hai siine meñ hamāre

    ye dāġh-e-nihāñ aur hai ye soz-e-nihāñ aur

    ho jaa.e sach iflās meñ suntā huuñ rahegā

    do-chār mahīne abhī māh-e-ramazāñ aur

    āġhāz-e-mohabbat meñ ye dil ḳhuun huā hai

    ro.eñge abhī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur

    duniyā meñ ab aisā qadar-andāz nahīñ hai

    hote hadaf dil ke chaḌhī un kamāñ aur

    jo piite haiñ piite nahīñ vo bhī ramzān meñ

    suntā huuñ koī band huī mai dukāñ aur

    achchhā hai raheñ ke lag donoñ-jahāñ se

    ushshāq ke rahne ko bane ek jahāñ aur

    piine mazā jab hai ki muñh ḳhum se lagā hai

    mujh riñd se saaqī ye kahe jaa.e ki haañ aur

    niklā hai mirā naam ki benām-o-nishāñ huuñ

    mujh bhī na hogā koī benām-o-nishāñ aur

    suntā huuñ musalmānoñ meñ ab maañg bahut hai

    Dartā huuñ mai-e-nāb na ho jaa.e garāñ aur

    pahuñche dar-o-dīvār ko nuqsān to kyā ġham

    rone ke liye leñge kirā.e makāñ aur

    tez ātish-e-sayyāl hai pahle se ziyāda

    ab aag lagā.e na zarā pīr-e-muġhāñ aur

    ham ne jagah dil ko bhī āñkhoñ ke barābar

    āñkhoñ meñ samāte nahīñ vo ho ke javāñ aur

    marne 'riyāz' apne zarā naam na lenā

    jiinā abhī mar-mar ke tujhe hai mirī jaañ aur

    fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur

    sahra ki zaban aur hai gulshan ki zaban aur

    kaT jae zaban teri to ho garm zaban aur hai

    allah ne di hai tujhe ai shama zaban aur

    jannat bhi hai dozaKH bhi hai sine mein hamare

    ye dagh-e-nihan aur hai ye soz-e-nihan aur

    ho jae sach iflas mein sunta hun rahega

    do-chaar mahine abhi mah-e-ramazan aur

    aaghaz-e-mohabbat mein ye dil KHun hua hai

    roenge abhi dida-e-KHun-naba-fishan aur

    duniya mein ab aisa qadar-andaz nahin hai

    hote hi hadaf dil ke chaDhi un ki kaman aur

    jo pite hain pite nahin wo bhi ramzan mein

    sunta hun koi band hui mai ki dukan aur

    achchha hai rahen ja ke lag donon-jahan se

    ushshaq ke rahne ko bane ek jahan aur

    pine ka maza jab hai ki munh KHum se laga hai

    mujh rind se saqi ye kahe jae ki han aur

    nikla hai mera nam ki benam-o-nishan hun

    mujh sa bhi na hoga koi benam-o-nishan aur

    sunta hun musalmanon mein ab mang bahut hai

    Darta hun mai-e-nab na ho jae garan aur

    pahunche dar-o-diwar ko nuqsan to kya gham

    rone ke liye lenge kirae ka makan aur

    tez aatish-e-sayyal hai pahle se ziyaada

    ab aag lagae na zara pir-e-mughan aur

    di hum ne jagah dil ko bhi aankhon ke barabar

    aankhon mein samate nahin wo ho ke jawan aur

    marne ka 'riyaz' apne zara nam na lena

    jina abhi mar-mar ke tujhe hai meri jaan aur

    Source:

    Riyaz Rizwan (Pg. e-272 p-134)

    • Author: Niyaz Ahmad
      • Edition: 1938
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now