Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai

Athar Nafees

farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai

Athar Nafees

MORE BYAthar Nafees

    farzānoñ is bastī meñ ek ajab saudā.ī hai

    kis ke liye ye haal hai us kaun aisā harjā.ī hai

    kis ke liye phirtā hai akelā shahr ke hañgāmoñ se duur

    kaun hai jis ḳhātir us ko tanhā.ī raas aa.ī hai

    kis ke lab o ruḳhsār bāteñ Dhal jaatī haiñ ġhazloñ meñ

    kis ke ḳham-e-kākul kahānī vaj.h-e-suḳhan-ārā.ī hai

    kaun hai jis mahrūmī ke daaġh haiñ us ke siine meñ

    kaun hai jis ke ḳhvāboñ ik duniyā maiñ ne sajā.ī hai

    kyuuñ us āshufta-sarī charchā hai ham logoñ meñ

    kyuuñ itnī pur-kaif-o-soz us shab-e-tanhā.ī hai

    'at.har' aao ham bhī us ke dil bāteñ sun aa.eñ

    kahte haiñ dīvāna hai vo vahshī hai saudā.ī hai

    farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai

    kis ke liye ye haal hai us ka kaun aisa harjai hai

    kis ke liye phirta hai akela shahr ke hangamon se dur

    kaun hai jis ki KHatir us ko tanhai ras aai hai

    kis ke lab o ruKHsar ki baaten Dhal jati hain ghazlon mein

    kis ke KHam-e-kakul ki kahani wajh-e-suKHan-arai hai

    kaun hai jis ki mahrumi ke dagh hain us ke sine mein

    kaun hai jis ke KHwabon ki ek duniya main ne sajai hai

    kyun us ki aashufta-sari ka charcha hai hum logon mein

    kyun itni pur-kaif-o-soz us ki shab-e-tanhai hai

    'athar' aao hum bhi us ke dil ki baaten sun aaen

    kahte hain diwana hai wo wahshi hai saudai hai

    Source:

    shab-khoon-shumara-number-027 (Pg. 34)

      • Edition: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now