Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain

Bhartendu Harishchandra

fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain

Bhartendu Harishchandra

MORE BYBhartendu Harishchandra

    fasād-e-duniyā miTā chuke haiñ husūl-e-hastī miTā chuke haiñ

    ḳhudā.ī apne meñ chuke haiñ mujhe gale ye lagā chuke haiñ

    nahīñ nazākat se ham meñ tāqat uThā.eñ jo nāz-e-hūr-e-jannat

    ki nāz-e-shamshīr-e-pur-nazākat ham apne sar par uThā chuke haiñ

    najāt ho sazā ho merī mile jahannam ki pā.ūñ jannat

    ham ab to un ke qadam pe apnā gunah-bharā sar jhukā chuke haiñ

    nahīñ zabāñ meñ hai itnī tāqat jo shukr laa.eñ bajā ham un

    ki dām-e-hastī se mujh ko apne ik haath meñ vo chhuḌā chuke haiñ

    vajūd se ham adam meñ aa kar makīñ hue lā-makāñ ke kar

    ham apne ko un teġh khā kar miTā miTā kar banā chuke haiñ

    yahī haiñ adnā ik adā se jinhoñ ne barham hai ki ḳhudā.ī

    yahī haiñ aksar qazā ke jin se farishte bhī zak uThā chuke haiñ

    ye kah do bas maut se ho ruḳhsat kyuuñ nāhaq aa.ī hai us shāmat

    ki dar talak vo masīh-ḳhaslat mirī ayādat ko aa chuke haiñ

    jo baat maane to ain shafqat na maane to ain husn-e-ḳhūbī

    'rasā' bhalā ham ko daḳhl kyā ab ham apnī hālat sunā chuke haiñ

    fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain

    KHudai apne mein pa chuke hain mujhe gale ye laga chuke hain

    nahin nazakat se hum mein taqat uThaen jo naz-e-hur-e-jannat

    ki naz-e-shamshir-e-pur-nazakat hum apne sar par uTha chuke hain

    najat ho ya saza ho meri mile jahannam ki paun jannat

    hum ab to un ke qadam pe apna gunah-bhara sar jhuka chuke hain

    nahin zaban mein hai itni taqat jo shukr laen baja hum un ka

    ki dam-e-hasti se mujh ko apne ek hath mein wo chhuDa chuke hain

    wajud se hum adam mein aa kar makin hue la-makan ke ja kar

    hum apne ko un ki tegh kha kar miTa miTa kar bana chuke hain

    yahi hain adna si ek ada se jinhon ne barham hai ki KHudai

    yahi hain aksar qaza ke jin se farishte bhi zak uTha chuke hain

    ye kah do bas maut se ho ruKHsat kyun nahaq aai hai us ki shamat

    ki dar talak wo masih-KHaslat meri ayaadat ko aa chuke hain

    jo baat mane to ain shafqat na mane to ain husn-e-KHubi

    'rasa' bhala hum ko daKHl kya ab hum apni haalat suna chuke hain

    Source:

    Bhartendu Samagr (Pg. 272)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now