Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr-e-uqba hai mujhe KHwahish-e-duniya hai mujhe

Hari Chand Akhtar

fikr-e-uqba hai mujhe KHwahish-e-duniya hai mujhe

Hari Chand Akhtar

MORE BYHari Chand Akhtar

    fikr-e-uqbā hai mujhe ḳhvāhish-e-duniyā hai mujhe

    aish dhun hai mujhe maut dhaḌkā hai mujhe

    maut kahte haiñ jise zabt takmīl na ho

    ki tanaffus pe bhī fariyād dhokā hai mujhe

    husn vo chāhiye jo ishq ā.īna bane

    ya.anī apne liye apnī tamannā hai mujhe

    tum na ghabrāo mujhe tum se koī kaam nahīñ

    apnī ḳhvāhish hai mujhe apnī tamannā hai mujhe

    ye to ma.alūm nahīñ un irāda kyā hai

    haañ nigāh-e-ġhalat-andāz se dekhā hai mujhe

    hijr shab udhar allāh idhar vo but hai

    dekhnā ye hai ki ab kaun bulātā hai mujhe

    ek but ek but huuñ pujārī 'aḳhtar'

    apne is shirk pe tauhīd da.avā hai mujhe

    fikr-e-uqba hai mujhe KHwahish-e-duniya hai mujhe

    aish ki dhun hai mujhe maut ka dhaDka hai mujhe

    maut kahte hain jise zabt ki takmil na ho

    ki tanaffus pe bhi fariyaad ka dhoka hai mujhe

    husn wo chahiye jo ishq ka aaina bane

    yani apne liye apni hi tamanna hai mujhe

    tum na ghabrao mujhe tum se koi kaam nahin

    apni KHwahish hai mujhe apni tamanna hai mujhe

    ye to malum nahin un ka irada kya hai

    han nigah-e-ghalat-andaz se dekha hai mujhe

    hijr ki shab udhar allah idhar wo but hai

    dekhna ye hai ki ab kaun bulata hai mujhe

    ek but ek hi but ka hun pujari 'aKHtar'

    apne is shirk pe tauhid ka dawa hai mujhe

    Source:

    Kufr-o-iman (Pg. 54)

    • Author: Hari chand Akhtar
      • Publisher: Satpaal, kucha Khakan Urdu Bazar- Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now