Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaeb har manzar mera

Rajinder Manchanda Bani

ghaeb har manzar mera

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    ġhā.eb har manzar merā

    DhūñD parinde ghar merā

    jangal meñ gum fasl mirī

    naddī meñ gum patthar merā

    du'ā mirī gum sar-sar meñ

    bhañvar meñ gum mehvar merā

    naaf meñ gum sab ḳhvāb mire

    ret meñ gum bistar merā

    sab be-nūr qayās mire

    gum saarā daftar merā

    kabhī kabhī sab kuchh ġhā.eb

    naam ki gum aksar merā

    maiñ apne andar bahār

    'bānī' kyā bāhar merā

    ghaeb har manzar mera

    DhunD parinde ghar mera

    jangal mein gum fasl meri

    naddi mein gum patthar mera

    du'a meri gum sar-sar mein

    bhanwar mein gum mehwar mera

    naf mein gum sab KHwab mere

    ret mein gum bistar mera

    sab be-nur qayas mere

    gum sara daftar mera

    kabhi kabhi sab kuchh ghaeb

    nam ki gum aksar mera

    main apne andar ki bahaar

    'bani' kya bahar mera

    Source:

    Kulliyat-e-bani (Pg. 297)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now