aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghafil ba-wahm-e-naz KHud-ara hai warna yan

Mirza Ghalib

ghafil ba-wahm-e-naz KHud-ara hai warna yan

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    ġhāfil ba-vahm-e-nāz ḳhud-ārā hai varna yaañ

    be-shāna-e-sabā nahīñ turra gayāh

    bazm-e-qadah se aish-e-tamannā na rakh ki rañg

    said-e-ze-dām-e-jasta hai us dām-gāh

    rahmat agar qubūl kare kyā ba.iid hai

    sharmindagī se uzr na karnā gunāh

    maqtal ko kis nashāt se jaatā huuñ maiñ ki hai

    pur-gul ḳhayāl-e-zaḳhm se dāman nigāh

    jaañ dar-havā-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad'

    parvāna hai vakīl tire dād-ḳhvāh

    uzlat-guzīn-e-bazm haiñ vāmāñdagān-e-dīd

    mīnā-e-mai hai aabla pā-e-nigāh

    har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam

    kyā biim ahl-e-dard ko saḳhtī-e-rāh

    tā.ūs-e-dar-rikāb hai har zarra aah

    yā-rab nafas ġhubār hai kis jalva-gāh

    jeb-e-niyāz-e-ishq nishāñ-dār-e-nāz hai

    ā.īna huuñ shikastan-e-tarf-e-kulāh

    ghafil ba-wahm-e-naz KHud-ara hai warna yan

    be-shana-e-saba nahin turra gayah ka

    bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ki rang

    said-e-ze-dam-e-jasta hai us dam-gah ka

    rahmat agar qubul kare kya baid hai

    sharmindagi se uzr na karna gunah ka

    maqtal ko kis nashat se jata hun main ki hai

    pur-gul KHayal-e-zaKHm se daman nigah ka

    jaan dar-hawa-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad'

    parwana hai wakil tere dad-KHwah ka

    uzlat-guzin-e-bazm hain wamandagan-e-did

    mina-e-mai hai aabla pa-e-nigah ka

    har gam aable se hai dil dar-tah-e-qadam

    kya bim ahl-e-dard ko saKHti-e-rah ka

    taus-e-dar-rikab hai har zarra aah ka

    ya-rab nafas ghubar hai kis jalwa-gah ka

    jeb-e-niyaz-e-ishq nishan-dar-e-naz hai

    aaina hun shikastan-e-tarf-e-kulah ka

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 163)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now