Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gahri aankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni

Mohammad Ajmal Niyazi

gahri aankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni

Mohammad Ajmal Niyazi

MORE BYMohammad Ajmal Niyazi

    gahrī āñkhoñ meñ ye kaisī hai bichhaḌtī mahfiloñ raushnī

    ajnabī logoñ meñ dekhī maiñ ne apne dostoñ raushnī

    manziloñ par vo pahuñch kar bhī abhī tak manziloñ jaisā nahīñ

    us sochoñ se bañdhī hai rāste ke manzaroñ raushnī

    us ke mere darmiyāñ pākīzgī raqs to hotā nahīñ

    ek parde tarah rahtī hai nañgī ḳhvāhishoñ raushnī

    maiñ ne us ko ḳhvāb meñ dekhā to vo ik aur duniyā meñ thā

    us ke har jānib bikhartī rahī thī rat-jagoñ raushnī

    ab to us dard bhī 'ajmal' samundar tarah gahrā nahīñ

    is jazīre meñ bhaTaktī hai akele sāhiloñ raushnī

    gahri aankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni

    ajnabi logon mein dekhi main ne apne doston ki raushni

    manzilon par wo pahunch kar bhi abhi tak manzilon jaisa nahin

    us ki sochon se bandhi hai raste ke manzaron ki raushni

    us ke mere darmiyan pakizgi ka raqs to hota nahin

    ek parde ki tarah rahti hai nangi KHwahishon ki raushni

    main ne us ko KHwab mein dekha to wo ek aur hi duniya mein tha

    us ke har jaanib bikharti ja rahi thi rat-jagon ki raushni

    ab to us ka dard bhi 'ajmal' samundar ki tarah gahra nahin

    is jazire mein bhaTakti hai akele sahilon ki raushni

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 666)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now