aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghairat-e-gul hai tu aur chaak-gareban hum hain

Baqaullah 'Baqa'

ghairat-e-gul hai tu aur chaak-gareban hum hain

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    ġhairat-e-gul hai aur chāk-garebāñ ham haiñ

    rashk-e-sumbul hai tirī zulf pareshāñ ham haiñ

    nā-tavāñ chashm tirī ham haiñ asā ke muhtāj

    nit bīmār vo aur tālib-e-darmāñ ham haiñ

    rashk-e-tūtī hai ḳhat-e-sabz tirā ham goyā

    donoñ aariz haiñ tire aa.ina hairāñ ham haiñ

    āj-kal haa.e tire naaz ke hāthoñ ai yaar

    sadma pahuñche hai tire qalb ko nālāñ ham haiñ

    lāla-rūyoñ mohabbat meñ ab ai sarv-e-sahī

    sar-ba-sar daaġh aur sarv-e-ḳhirāmāñ ham haiñ

    ham asīr-e-ḳham-e-mū tere hamārā raam

    ḳhātim-e-jam hai tire paas sulaimāñ ham haiñ

    suḳhan-sanj 'baqā' naam hamārā mash.hūr

    ḳhātim-e-jam hai tire paas sulaimāñ ham haiñ

    ghairat-e-gul hai tu aur chaak-gareban hum hain

    rashk-e-sumbul hai teri zulf pareshan hum hain

    na-tawan chashm teri hum hain asa ke muhtaj

    nit ki bimar wo aur talib-e-darman hum hain

    rashk-e-tuti hai KHat-e-sabz tera hum goya

    donon aariz hain tere aaina hairan hum hain

    aaj-kal hae tere naz ke hathon ai yar

    sadma pahunche hai tere qalb ko nalan hum hain

    lala-ruyon ki mohabbat mein ab ai sarw-e-sahi

    sar-ba-sar dagh tu aur sarw-e-KHiraman hum hain

    hum asir-e-KHam-e-mu tere hamara tu ram

    KHatim-e-jam hai tere pas sulaiman hum hain

    tu suKHan-sanj 'baqa' nam hamara mashhur

    KHatim-e-jam hai tere pas sulaiman hum hain

    Source:

    Deewan-e-Baqa (Pg. ebook-44 page-23)

    • Author: Khwaja Ahmad Faruqi
      • Publisher: Shoba-e-Urdu, Delhi University, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now