Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi

Akhtar Shirani

gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    ġham-e-zamāna nahīñ ik azaab hai saaqī

    sharāb mirī hālat ḳharāb hai saaqī

    shabāb ke liye tauba azaab hai saaqī

    sharāb mujhe pās-e-shabāb hai saaqī

    uThā piyāla ki gulshan pe phir barasne lagī

    vo mai ki jis qadah māhtāb hai saaqī

    nikāl parda-e-mīnā se duḳhtar-e-raz ko

    ghaTā meñ kis liye ye māhtāb hai saaqī

    vā.izoñ na sun mai-kashoñ ḳhidmat kar

    gunah savāb ḳhātir savāb hai saaqī

    zamāne-bhar ke ġhamoñ ko hai dāvat-e-ġharrā

    ki ek jaam meñ sab javāb hai saaqī

    kalām jis hai me.arāj 'hāfiz'-o-'ḳhayyām'

    yahī vo 'aḳhtar'-e-ḳhāna-ḳharāb hai saaqī

    gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi

    sharab la meri haalat KHarab hai saqi

    shabab ke liye tauba azab hai saqi

    sharab la mujhe pas-e-shabab hai saqi

    uTha piyala ki gulshan pe phir barasne lagi

    wo mai ki jis ka qadah mahtab hai saqi

    nikal parda-e-mina se duKHtar-e-raz ko

    ghaTa mein kis liye ye mahtab hai saqi

    tu waizon ki na sun mai-kashon ki KHidmat kar

    gunah sawab ki KHatir sawab hai saqi

    zamane-bhar ke ghamon ko hai dawat-e-gharra

    ki ek jam mein sab ka jawab hai saqi

    kalam jis ka hai mearaj 'hafiz'-o-'KHayyam'

    yahi wo 'aKHtar'-e-KHana-KHarab hai saqi

    Source:

    Kulliyat-e-Akhtar Shirani (Pg. 241)

    • Author: Akhtar Shirani
      • Edition: 1997
      • Publisher: Modern Publishing House, Daryaganj New delhi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now