Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

Adeem Hashmi

gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    ġham hai vahīñ pa ġham sahārā guzar gayā

    dariyā Thahar gayā hai kināra guzar gayā

    bas ye safar hayāt itnī zindagī

    kyuuñ itnī jaldī rāsta saarā guzar gayā

    vo jis raushnī se chamaknā thā baḳht ko

    kis āsmān se vo sitāra guzar gayā

    kyā zikr us ghaḌī kaḌī thī ki sahl thī

    jo vaqt jis tarah bhī guzārā guzar gayā

    tafhīm-e-dostī meñ baḌī bhuul ho ga.ī

    phir duur se dost hamārā guzar gayā

    kar ke yaqīn phir se ki maiñ mushkiloñ meñ huuñ

    Thahrā nahīñ vo shaḳhs dobāra guzar gayā

    ik vaqt ḳhush-nasīb aayā to thā 'adīm'

    maddham ik sadā meñ pukārā guzar gayā

    mujrim huā thā aañkh jhapakne maiñ 'adīm'

    jo zehn meñ basā thā nazāra guzar gayā

    gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

    dariya Thahar gaya hai kinara guzar gaya

    bas ye safar hayat ka itni si zindagi

    kyun itni jaldi rasta sara guzar gaya

    wo jis ki raushni se chamakna tha baKHt ko

    kis aasman se wo sitara guzar gaya

    kya zikr us ghaDi ka kaDi thi ki sahl thi

    jo waqt jis tarah bhi guzara guzar gaya

    tafhim-e-dosti mein baDi bhul ho gai

    phir dur se hi dost hamara guzar gaya

    kar ke yaqin phir se ki main mushkilon mein hun

    Thahra nahin wo shaKHs dobara guzar gaya

    ek waqt KHush-nasib sa aaya to tha 'adim'

    maddham si ek sada mein pukara guzar gaya

    mujrim hua tha aankh jhapakne ka main 'adim'

    jo zehn mein basa tha nazara guzar gaya

    Source:

    Faasle aise bhii ho.nge (Pg. 112)

    • Author: Adeem Hashmi
      • Edition: 2009
      • Publisher: Rumail House of Publications
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now