Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham ka suraj kabhi Dhalta hi nahin

Shakeel Gwaliari

gham ka suraj kabhi Dhalta hi nahin

Shakeel Gwaliari

MORE BYShakeel Gwaliari

    ġham sūraj kabhī Dhaltā nahīñ

    āsmāñ rang badaltā nahīñ

    de diyā jaatā hai qabza dil par

    dil to siine se nikaltā nahīñ

    kahte haiñ ūñchī uḌānoñ vaale

    jo girā phir vo sañbhaltā nahīñ

    hai ḳhushāmad se aamad lekin

    vo ḳhushāmad se pighaltā nahīñ

    gaañv bhar ḳhauf-zada hai us se

    jo kabhī ghar se nikaltā nahīñ

    kisī insān dil ho ki charāġh

    be jalā.e kabhī jaltā nahīñ

    ḳhāmushī hai to baḌī chiiz magar

    kaam chup rahne se chaltā nahīñ

    shā'irī kar ke bhī dekhā hai 'shakīl'

    dil meñ kuchh hai jo nikaltā nahīñ

    gham ka suraj kabhi Dhalta hi nahin

    aasman rang badalta hi nahin

    de diya jata hai qabza dil par

    dil to sine se nikalta hi nahin

    kahte hain unchi uDanon wale

    jo gira phir wo sanbhalta hi nahin

    hai KHushamad hi se aamad lekin

    wo KHushamad se pighalta hi nahin

    ganw bhar KHauf-zada hai us se

    jo kabhi ghar se nikalta hi nahin

    kisi insan ka dil ho ki charagh

    be jalae kabhi jalta hi nahin

    KHamushi hai to baDi chiz magar

    kaam chup rahne se chalta hi nahin

    sha'iri kar ke bhi dekha hai 'shakil'

    dil mein kuchh hai jo nikalta hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now