aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gardishon se yun ubhar jaane ko ji chahta hai

Nazr Fatmi

gardishon se yun ubhar jaane ko ji chahta hai

Nazr Fatmi

MORE BYNazr Fatmi

    gardishoñ se yuuñ ubhar jaane ko chāhtā hai

    shaam se pahle ghar jaane ko chāhtā hai

    tum ko rakhnā hai rakho tark-e-ta.alluq bharam

    merā va.ade se mukar jaane ko chāhtā hai

    mulk-o-maz.hab ke qavānīn to sar āñkhoñ par

    ishq meñ had se guzar jaane ko chāhtā hai

    farsh-e-duniyā pe maiñ muddat se jiyā huuñ ab to

    chāñd-tāroñ se guzar jaane ko chāhtā hai

    baad marne ke mujhe yaad rakhe ye duniyā

    kaam kuchh aise bhī kar jaane ko chāhtā hai

    zindagī hai usī ne vahī māregā magar

    in dinoñ yuuñ hai ki mar jaane ko chāhtā hai

    bin bulāvā maiñ kabhī 'nazr' na jaatā huuñ kahīñ

    bazm hai un magar jaane ko chāhtā hai

    gardishon se yun ubhar jaane ko ji chahta hai

    sham se pahle hi ghar jaane ko ji chahta hai

    tum ko rakhna hai rakho tark-e-talluq ka bharam

    mera wade se mukar jaane ko ji chahta hai

    mulk-o-mazhab ke qawanin to sar aankhon par

    ishq mein had se guzar jaane ko ji chahta hai

    farsh-e-duniya pe main muddat se jiya hun ab to

    chand-taron se guzar jaane ko ji chahta hai

    baad marne ke mujhe yaad rakhe ye duniya

    kaam kuchh aise bhi kar jaane ko ji chahta hai

    zindagi di hai usi ne wahi marega magar

    in dinon yun hai ki mar jaane ko ji chahta hai

    bin bulawa main kabhi 'nazr' na jata hun kahin

    bazm hai un ki magar jaane ko ji chahta hai

    Source:

    Mumkinat (Pg. 59)

    • Author: Nazr Fatmi
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now