aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein

Zeb Ghauri

garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    garm lahū sonā bhī hai sarsoñ ujyālī meñ

    dhuup jot jagāne vaale sūraj ghol piyālī meñ

    ek sarāpā mahrūmī naqsha ne khīñch diyā

    talḳhī zahrāb chamak bhī hai kuchh chashm-e-savālī meñ

    rishta bhī hai nashv-o-numā farq bhī raushan lamhoñ

    sabz sarāpā shāḳh-e-badan aur jañgal hariyālī meñ

    larzish bhī hai sat.h-e-falak par gardish karte sitāroñ

    vaqt ik Thahrāo bhī hai is aurañg-ḳhayālī meñ

    shola-dar-shola surḳhī maujoñ ko tah-dār banā

    vo jo ik gahrā.ī hai rañg-e-shafaq laalī meñ

    āhista āhista ik ik buuñd falak se Tapkī hai

    khīñch ik sannāTe fazā bhī shabnam ujyālī meñ

    'zeb' na bin naqqāl-e-ā.īna jītī-jāgtī āñhkeñ khol

    apnā zehn utaar ke rakh de rañgoñ is thālī meñ

    garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein

    dhup ki jot jagane wale suraj ghol piyali mein

    ek sarapa mahrumi ka naqsha tu ne khinch diya

    talKHi ki zahrab chamak bhi hai kuchh chashm-e-sawali mein

    rishta bhi hai nashw-o-numa ka farq bhi raushan lamhon ka

    sabz sarapa shaKH-e-badan aur jangal ki hariyali mein

    larzish bhi hai sath-e-falak par gardish karte sitaron ki

    waqt ka ek Thahrao bhi hai is aurang-KHayali mein

    shola-dar-shola surKHi ki maujon ko tah-dar bana

    wo jo ek gahrai si hai rang-e-shafaq ki lali mein

    aahista aahista ek ek bund falak se Tapki hai

    khinch ek sannaTe ki faza bhi shabnam ki ujyali mein

    'zeb' na bin naqqal-e-aina jiti-jagti aanhken khol

    apna zehn utar ke rakh de rangon ki is thaali mein

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein Nomaan Shauque

    Source:

    zard zarkhez (Pg. 72)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now