Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale

Abdul Mannan Tarzi

ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale

Abdul Mannan Tarzi

MORE BYAbdul Mannan Tarzi

    ġhazal meñ fan jauhar jab dikhāte haiñ ġhazal vaale

    zamīñ ko āsmāñ jaisā banāte haiñ ġhazal vaale

    badal dete haiñ ḳhāroñ ḳhalish gul nazākat se

    zabāñ shabnam sho.aloñ ko sikhāte haiñ ġhazal vaale

    kabhī pahle ġhazal un kabhī ḳhud peshtar is se

    kisī ke dīda-o-dil meñ samāte haiñ ġhazal vaale

    agar aahoñ se apnī koī misra.a gaḌ.h bhī lete haiñ

    to ashkoñ se girah us par lagāte haiñ ġhazal vaale

    vufūr-e-shauq majbūriyāñ bhī kaisī kaisī haiñ

    kisī naam likh likh kar miTāte haiñ ġhazal vaale

    zamīñ zarḳhez hai ye 'mīr' 'ġhālib' aur 'momin'

    ki jis meñ fasl-e-tāza ab ugāte haiñ ġhazal vaale

    ba-ijz-e-ilm-o-dānish jaao un bazm meñ 'tarzī'

    ġhazal sher-bandī par bulāte haiñ ġhazal vaale

    ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale

    zamin ko aasman jaisa banate hain ghazal wale

    badal dete hain KHaron ki KHalish gul ki nazakat se

    zaban shabnam ki shoalon ko sikhate hain ghazal wale

    kabhi pahle ghazal un ki kabhi KHud peshtar is se

    kisi ke dida-o-dil mein samate hain ghazal wale

    agar aahon se apni koi misra gaDh bhi lete hain

    to ashkon se girah us par lagate hain ghazal wale

    wufur-e-shauq ki majburiyan bhi kaisi kaisi hain

    kisi ka nam likh likh kar miTate hain ghazal wale

    zamin zarKHez hai ye 'mir' 'ghaalib' aur 'momin' ki

    ki jis mein fasl-e-taza ab ugate hain ghazal wale

    ba-ijz-e-ilm-o-danish jao un ki bazm mein 'tarzi'

    ghazal ki sher-bandi par bulate hain ghazal wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now