ghazal mein tere KHad-o-Khaal likhne wala kaun
ġhazal meñ tere ḳhad-o-ḳhāl likhne vaalā kaun
mirī tarah tujhe kāġhaz pe laane vaalā kaun
gul-e-anār hai āñkhoñ meñ yā safīna-e-ashk
uthal-puthal hai ye Dubkī lagāne vaalā kaun
Thahar ga.ī hai zamānoñ kī pyaas āñkhoñ meñ
vagarna āñkhoñ meñ ḳheme lagāne vaalā kaun
yatīm bachchoñ ko jaldī javān kar maulā
hai in ko varna khilaune dilāne vaalā kaun
agarche kāñTe haiñ 'be-dil' mirī zabāñ pe magar
maiñ us ke abr se inkār karne vaalā kaun
ghazal mein tere KHad-o-KHal likhne wala kaun
meri tarah tujhe kaghaz pe lane wala kaun
gul-e-anar hai aankhon mein ya safina-e-ashk
uthal-puthal hai ye Dubki lagane wala kaun
Thahar gai hai zamanon ki pyas aankhon mein
wagarna aankhon mein KHeme lagane wala kaun
yatim bachchon ko jaldi jawan kar maula
hai in ko warna khilaune dilane wala kaun
agarche kanTe hain 'be-dil' meri zaban pe magar
main us ke abr se inkar karne wala kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.