aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre

Qaisarul Jafri

ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    ghar basā kar bhī musāfir ke musāfir Thahre

    log darvāzoñ se nikle ki muhājir Thahre

    dil ke madfan pe nahīñ koī bhī rone vaalā

    apnī dargāh ke ham ḳhud mujāvir Thahre

    is bayābāñ nigāhoñ meñ muravvat na rahī

    kaun jaane ki koī shart-e-safar phir Thahre

    pattiyāñ TuuT ke patthar tarah lagtī haiñ

    un daraḳhtoñ ke tale kaun musāfir Thahre

    ḳhushk patte tarah jism uḌā jaatā hai

    kyā paḌī hai jo ye āñdhī mirī ḳhātir Thahre

    shāḳh-e-gul chhoḌ ke dīvār pe aa baiThe haiñ

    vo parinde jo andheroñ ke musāfir Thahre

    apnī barbādī tasvīr utārūñ kaise

    chand lamhoñ ke liye bhī na manāzir Thahre

    tishnagī kab ke gunāhoñ sazā hai 'qaisar'

    vo kuaañ suukh gayā jis pe musāfir Thahre

    ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre

    log darwazon se nikle ki muhajir Thahre

    dil ke madfan pe nahin koi bhi rone wala

    apni dargah ke hum KHud hi mujawir Thahre

    is bayaban ki nigahon mein murawwat na rahi

    kaun jaane ki koi shart-e-safar phir Thahre

    pattiyan TuT ke patthar ki tarah lagti hain

    un daraKHton ke tale kaun musafir Thahre

    KHushk patte ki tarah jism uDa jata hai

    kya paDi hai jo ye aandhi meri KHatir Thahre

    shaKH-e-gul chhoD ke diwar pe aa baiThe hain

    wo parinde jo andheron ke musafir Thahre

    apni barbaadi ki taswir utarun kaise

    chand lamhon ke liye bhi na manazir Thahre

    tishnagi kab ke gunahon ki saza hai 'qaisar'

    wo kuan sukh gaya jis pe musafir Thahre

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now