Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil walo ghar se niklo deta dawat-e-am hai chand

Ibn e Insha

ai dil walo ghar se niklo deta dawat-e-am hai chand

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    ai dil vaalo ghar se niklo detā dāvat-e-ām hai chāñd

    shahroñ shahroñ qariyoñ qariyoñ vahshat paiġhām hai chāñd

    bhī hare darīche vaalī aa bar-sar-e-bām hai chāñd

    har koī jag meñ ḳhud DhūñDe tujh bin base ārām hai chāñd

    sakhiyoñ se kab sakhiyāñ apne ke bhed chhupātī haiñ

    ham se nahīñ to us se kah de kartā kahāñ kalām hai chāñd

    jis jis se use rabt rahā hai aur bhī log hazāroñ haiñ

    ek tujhī ko be-mehrī detā kyuuñ ilzām hai chāñd

    vo jo terā daaġh ġhulāmī māthe par liye phirtā hai

    us naam to 'inshā' Thahrā nāhaq ko badnām hai chāñd

    ham se bhī do bāteñ kar le kaisī bhīgī shaam hai chāñd

    sab kuchh sun le aap na bole terā ḳhuub nizām hai chāñd

    ham is lambe-chauḌe ghar meñ shab ko tanhā hote haiñ

    dekh kisī din aa mil ham se ham ko tujh se kaam hai chāñd

    apne dil ke mashriq-o-maġhrib us ke ruḳh se munavvar haiñ

    be-shak terā ruup bhī kāmil be-shak bhī tamām hai chāñd

    tujh ko to har shaam falak par ghaTtā-baḌhtā dekhte haiñ

    us ko dekh ke iid kareñge apnā aur islām hai chāñd

    ai dil walo ghar se niklo deta dawat-e-am hai chand

    shahron shahron qariyon qariyon wahshat ka paigham hai chand

    tu bhi hare dariche wali aa ja bar-sar-e-baam hai chand

    har koi jag mein KHud sa DhunDe tujh bin base aaram hai chand

    sakhiyon se kab sakhiyan apne ji ke bhed chhupati hain

    hum se nahin to us se kah de karta kahan kalam hai chand

    jis jis se use rabt raha hai aur bhi log hazaron hain

    ek tujhi ko be-mehri ka deta kyun ilzam hai chand

    wo jo tera dagh ghulami mathe par liye phirta hai

    us ka nam to 'insha' Thahra nahaq ko badnam hai chand

    hum se bhi do baaten kar le kaisi bhigi sham hai chand

    sab kuchh sun le aap na bole tera KHub nizam hai chand

    hum is lambe-chauDe ghar mein shab ko tanha hote hain

    dekh kisi din aa mil hum se hum ko tujh se kaam hai chand

    apne dil ke mashriq-o-maghrib us ke ruKH se munawwar hain

    be-shak tera rup bhi kaamil be-shak tu bhi tamam hai chand

    tujh ko to har sham falak par ghaTta-baDhta dekhte hain

    us ko dekh ke id karenge apna aur islam hai chand

    Source:

    Is Basti Ke Ek Kooche Mein (Pg. 138)

    • Author: Ibn e Insha
      • Edition: 2009
      • Publisher: Akif Book Depo, Delhi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now