aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum

Iqbal Sajid

go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum

Iqbal Sajid

MORE BYIqbal Sajid

    go dahr ke naqshe meñ haiñ bāhar bhī nahīñ ham

    rakhte haiñ nishāñ aur ujāgar bhī nahīñ ham

    kyuuñ ham se phir ummīd-e-sadaf bāñdh rahe ho

    jab tum ko patā hai ki samundar bhī nahīñ ham

    ḳhushbū tarah phuul ke pinjre meñ nahīñ band

    āzād fazāoñ muqaddar bhī nahīñ ham

    ehsās hai phir ḳhāna-badoshī hameñ kyuuñ

    rahne ko Thikāna bhī hai be-ghar bhī nahīñ ham

    kaise ho ḳhad-o-ḳhāl se pahchān hamārī

    ma.anī tarah lafz ke andar bhī nahīñ ham

    parvāz sabab kaise ho bachchoñ ḳhushī

    titlī tarah mus.haf-e-gul par bhī nahīñ ham

    is ye taqāzā hai ki ahkām bajā laa.eñ

    jis husn sarkār ke naukar bhī nahīñ ham

    go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum

    rakhte hain nishan aur ujagar bhi nahin hum

    kyun hum se phir ummid-e-sadaf bandh rahe ho

    jab tum ko pata hai ki samundar bhi nahin hum

    KHushbu ki tarah phul ke pinjre mein nahin band

    aazad fazaon ka muqaddar bhi nahin hum

    ehsas hai phir KHana-badoshi ka hamein kyun

    rahne ko Thikana bhi hai be-ghar bhi nahin hum

    kaise ho KHad-o-KHal se pahchan hamari

    mani ki tarah lafz ke andar bhi nahin hum

    parwaz sabab kaise ho bachchon ki KHushi ka

    titli ki tarah mushaf-e-gul par bhi nahin hum

    is ka ye taqaza hai ki ahkaam baja laen

    jis husn ka sarkar ke naukar bhi nahin hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now