Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye

Aziz Warsi

har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye

Aziz Warsi

MORE BYAziz Warsi

    har aañkh meñ mastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    aur aap bastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    har shai se kināra bhī aur anjuman-ārā bhī

    kyā aap hastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    but-ḳhāne meñ din kaaTā maiḳhāne meñ shab guzrī

    nasha hai na mastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    ye daur sanam-parvar har shaḳhs yahāñ aazar

    sahrā hai na bastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    vo mahfil-e-rindāñ ho bazm-e-suḳhan-dāñ ho

    ahbāb-parastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    zāhid subuk-fitrat rindoñ pe hamesha se

    āvāz kastī kahiye bhī to kyā kahiye

    ahbāb āñkhoñ meñ jo uns nāgin hai

    ahbāb ko Dastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    ik jins-e-kudūrat thī jo pahle sastī thī

    ab aur bhī sastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    duniyā se 'azīz' us ko hotī hai mohabbat bhī

    duniyā jise Dastī hai kahiye bhī to kyā kahiye

    har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye

    aur aap ki basti hai kahiye bhi to kya kahiye

    har shai se kinara bhi aur anjuman-ara bhi

    kya aap ki hasti hai kahiye bhi to kya kahiye

    but-KHane mein din kaTa maiKHane mein shab guzri

    nasha hai na masti hai kahiye bhi to kya kahiye

    ye daur sanam-parwar har shaKHs yahan aazar

    sahra hai na basti hai kahiye bhi to kya kahiye

    wo mahfil-e-rindan ho ya bazm-e-suKHan-dan ho

    ahbab-parasti hai kahiye bhi to kya kahiye

    zahid ki subuk-fitrat rindon pe hamesha se

    aawaz hi kasti kahiye bhi to kya kahiye

    ahbab ki aankhon mein jo uns ki nagin hai

    ahbab ko Dasti hai kahiye bhi to kya kahiye

    ek jins-e-kudurat thi jo pahle hi sasti thi

    ab aur bhi sasti hai kahiye bhi to kya kahiye

    duniya se 'aziz' us ko hoti hai mohabbat bhi

    duniya jise Dasti hai kahiye bhi to kya kahiye

    Source:

    Mehraab (Pg. 16)

    • Author: Aziiz vaarsii
      • Edition: 1976
      • Publisher: Mahakma Ettlaat U.P
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now