aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul bhi manind-e-Khaar hain ab to

Nami Nadri

gul bhi manind-e-Khaar hain ab to

Nami Nadri

MORE BYNami Nadri

    gul bhī mānind-e-ḳhār haiñ ab to

    nañg-e-fasl-ए-bahār haiñ ab to

    ham-vatan dil-figār haiñ ab to

    sab ke sab sho.ala-bār haiñ ab to

    jin ke dam se bahār aa.ī thī

    vo bhī āñkhoñ meñ ḳhaar haiñ ab to

    jin pe dār-o-madār-e-gulshan thā

    vo siyāsat shi.ār haiñ ab to

    kyā abhī der hai qayāmat meñ

    ham bahut be-qarār haiñ ab to

    ek do tiin chaar ho to kahīñ

    mushkileñ be-shumār haiñ ab to

    bhiik jo māñgte the saḌkoñ par

    barsar-e-eqtidār haiñ ab to

    vo jo gulshan ko lūTte rahe

    sāhab-e-lāla-zār haiñ ab to

    dil ko amn-o-amāñ nasīb nahīñ

    ḳhushiyāñ saarī farār haiñ ab to

    jo sharīk-e-ḳhizāñ kabhī na rahe

    vo sharīk bahār haiñ ab to

    apnī man-mānī kis liye na kareñ

    sāhib-e-iḳhtiyār haiñ ab to

    aap ke din ga.e ḳhalīl miyāñ

    fāḳhtā.eñ farār haiñ ab to

    jo kabhī nañg-e-qaum the yaaro

    bā.is-e-iftiḳhār haiñ ab to

    sochne maqām hai 'nāmī'

    ḳhaar bhī mushk-bār haiñ ab to

    gul bhi manind-e-KHar hain ab to

    nang-e-fasl-ए-bahaar hain ab to

    ham-watan dil-figar hain ab to

    sab ke sab shoala-bar hain ab to

    jin ke dam se bahaar aai thi

    wo bhi aankhon mein KHar hain ab to

    jin pe dar-o-madar-e-gulshan tha

    wo siyasat shiar hain ab to

    kya abhi der hai qayamat mein

    hum bahut be-qarar hain ab to

    ek do tin chaar ho to kahin

    mushkilen be-shumar hain ab to

    bhik jo mangte the saDkon par

    barsar-e-eqtidar hain ab to

    wo jo gulshan ko luTte hi rahe

    sahab-e-lala-zar hain ab to

    dil ko amn-o-aman nasib nahin

    KHushiyan sari farar hain ab to

    jo sharik-e-KHizan kabhi na rahe

    wo sharik bahaar hain ab to

    apni man-mani kis liye na karen

    sahib-e-iKHtiyar hain ab to

    aap ke din gae KHalil miyan

    faKHtaen farar hain ab to

    jo kabhi nang-e-qaum the yaro

    bais-e-iftiKHar hain ab to

    sochne ka maqam hai 'nami'

    KHar bhi mushk-bar hain ab to

    Source:

    Ahsaan-e-Hayaat (Pg. 79)

    • Author: Nami Nadri
      • Publisher: Omkar Printing Press, Ludhiana
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now