Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul ka wo ruKH bahaar ke aaghaz se uTha

Aziz Hamid Madni

gul ka wo ruKH bahaar ke aaghaz se uTha

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    gul vo ruḳh bahār ke āġhāz se uThā

    sho.ala andalīb āvāz se uThā

    nau-dast zaḳhma-var ne miTā had-e-kamāl

    parde jale tamām dhuāñ saaz se uThā

    jaise duā-e-nīm-shabī surūd ho

    ik shor mai-kade meñ is andāz se uThā

    mahzar liye junūñ meñ savāl-o-javāb

    parda ek dīda-e-ġhammāz se uThā

    baaqī abhī hai tañgī-o-vus.at meñ ek farq

    us ko bhī jumbish-e-lab-e-e.ajāz se uThā

    vo shaḳhs thā muraqqā ma.anī ek zid

    rang-e-hazār husn-e-junnūñ-sāz se uThā

    kāñTe zamīñ se aur ziyāda hue tulūa

    ik mas.ala bahār ke āġhāz se uThā

    bantī matā-e-kashf to kyā aa.ine chhūT

    lazzat kuchh ishāra-e-ham-rāz se uThā

    yā-rab laaj rakh mire shauq-e-fuzūl

    duniyā hai niiñd meñ mirī āvāz se uThā

    ik manzar-e-kināra-e-bām aur de gayā

    partau koī us ke dar-e-bāz se uThā

    maiñ kyā ki mere baad bhī jo log vaañ ga.e

    koī na us anjuman-e-nāz se uThā

    'madnī' qafas meñ sub.h huī aur us ke baad

    dil se dhuāñ bhī hasrat-e-parvāz se uThā

    gul ka wo ruKH bahaar ke aaghaz se uTha

    shoala sa andalib ki aawaz se uTha

    nau-dast zaKHma-war ne miTa di had-e-kamal

    parde jale tamam dhuan saz se uTha

    jaise dua-e-nim-shabi ka surud ho

    ek shor mai-kade mein is andaz se uTha

    mahzar liye junun mein sawal-o-jawab ka

    parda sa ek dida-e-ghammaz se uTha

    baqi abhi hai tangi-o-wusat mein ek farq

    us ko bhi jumbish-e-lab-e-eajaz se uTha

    wo shaKHs tha muraqqa mani ki ek zid

    rang-e-hazar husn-e-junnun-saz se uTha

    kanTe zamin se aur ziyaada hue tulua

    ek masala bahaar ke aaghaz se uTha

    banti mata-e-kashf to kya aaine ki chhuT

    lazzat hi kuchh ishaara-e-ham-raaz se uTha

    ya-rab tu laj rakh mere shauq-e-fuzul ki

    duniya hai nind mein meri aawaz se uTha

    ek manzar-e-kinara-e-baam aur de gaya

    partau sa koi us ke dar-e-baz se uTha

    main kya ki mere baad bhi jo log wan gae

    koi na us ki anjuman-e-naz se uTha

    'madni' qafas mein subh hui aur us ke baad

    dil se dhuan bhi hasrat-e-parwaz se uTha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now