Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul tera rang chura lae hain gulzaron mein

Ahmad Nadeem Qasmi

gul tera rang chura lae hain gulzaron mein

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    gul tirā rang churā laa.e haiñ gulzāroñ meñ

    jal rahā huuñ bharī barsāt bauchhāroñ meñ

    mujh se katrā ke nikal magar ai jān-e-hayā

    dil lau dekh rahā huuñ tire ruḳhsāroñ meñ

    husn-e-be-gāna-e-ehsās-e-jamāl achchhā hai

    ġhunche khilte haiñ to bik jaate haiñ bāzāroñ meñ

    zikr karte haiñ tirā mujh se ba-unvān-e-jafā

    chāra-gar phuul piro laa.e haiñ talvāroñ meñ

    zaḳhm chhup sakte haiñ lekin mujhe fan saugand

    ġham daulat bhī hai shāmil mire shahkāroñ meñ

    muntazir haiñ ki koī tesha-e-taḳhlīq uThā.e

    kitne asnām abhī dafn haiñ kohsāroñ meñ

    mujh ko nafrat se nahīñ pyaar se maslūb karo

    maiñ to shāmil huuñ mohabbat ke gunahgāroñ meñ

    gul tera rang chura lae hain gulzaron mein

    jal raha hun bhari barsat ki bauchhaaron mein

    mujh se katra ke nikal ja magar ai jaan-e-haya

    dil ki lau dekh raha hun tere ruKHsaron mein

    husn-e-be-gana-e-ehsas-e-jamal achchha hai

    ghunche khilte hain to bik jate hain bazaron mein

    zikr karte hain tera mujh se ba-unwan-e-jafa

    chaara-gar phul piro lae hain talwaron mein

    zaKHm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugand

    gham ki daulat bhi hai shamil mere shahkaron mein

    muntazir hain ki koi tesha-e-taKHliq uThae

    kitne asnam abhi dafn hain kohsaron mein

    mujh ko nafrat se nahin pyar se maslub karo

    main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein

    Source:

    Kulliyat Ahmad Nadeem Qasmi (Pg. 119)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd, New Delhi
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now