Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga

Anand Narayan Mulla

gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    gulshan hai isī naam agar hairāñ huuñ bayābāñ kyā hogā

    hañgām-e-bahārāñ jab ye hai anjām-e-bahārāñ kyā hogā

    saaqī ke dayār-e-rahmat meñ hindū-o-musalmāñ kyā hogā

    is bazm-e-pāk-nihādāñ meñ ālūda-e-īmāñ kyā hogā

    ye jañg to laḌnā hogī har barg se chāhe ḳhuuñ Tapke

    kāñToñ se jo gul Dar jā.egā dārā-e-gulsitāñ kyā hogā

    ulfat ko miTāne ke dar pe duniyā aur maiñ is soch meñ huuñ

    ulfat na rahegī jab baaqī ḳhvāb-e-dil-e-insāñ kyā hogā

    maiñ duur bhī tum se lūñgā tum mere liye kuchh ġham na karo

    maanā ki pareshāñ dil hogā aisā bhī pareshāñ kyā hogā

    jis haath meñ hai shamshīr-o-tīr kyā us se umīd-e-barg-o-samar

    jo shāḳh-e-nasheman toḌegā memār-e-gulistāñ kyā hogā

    kis shai pe abhī ham jashn kareñ har-sū kāñTe kūḌā-karkaT

    kuchh rañg-e-chaman aa.e to sahī ghūre pe charāġhāñ kyā hogā

    jo tishna-laboñ ke haq ke liye saaqī se laḌe vo riñd kahāñ

    jo dast-o-dahāñ ḳhūgar hai vo dast-o-garebāñ kyā hogā

    saaqī ġhulāmī kar legā aur vo bhī kuchh qatroñ ke liye

    nādān sahī mullā lekin itnā bhī vo nādāñ kyā hogā

    āvāz-e-zamīr apnī sun kar 'mullā' ne banā rāh-e-amal

    ye fikr kabhī us ko na huī andāz-e-harīfāñ kyā hogā

    gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga

    hangam-e-bahaaran jab ye hai anjam-e-bahaaran kya hoga

    saqi ke dayar-e-rahmat mein hindu-o-musalman kya hoga

    is bazm-e-pak-nihadan mein aaluda-e-iman kya hoga

    ye jang to laDna hi hogi har barg se chahe KHun Tapke

    kanTon se jo gul Dar jaega dara-e-gulsitan kya hoga

    ulfat ko miTane ke dar pe duniya aur main is soch mein hun

    ulfat na rahegi jab baqi KHwab-e-dil-e-insan kya hoga

    main dur bhi tum se ji lunga tum mere liye kuchh gham na karo

    mana ki pareshan dil hoga aisa bhi pareshan kya hoga

    jis hath mein hai shamshir-o-tir kya us se umid-e-barg-o-samar

    jo shaKH-e-nasheman toDega memar-e-gulistan kya hoga

    kis shai pe abhi hum jashn karen har-su kanTe kuDa-karkaT

    kuchh rang-e-chaman aae to sahi ghure pe charaghan kya hoga

    jo tishna-labon ke haq ke liye saqi se laDe wo rind kahan

    jo dast-o-dahan ka KHugar hai wo dast-o-gareban kya hoga

    saqi ki ghulami kar lega aur wo bhi kuchh qatron ke liye

    nadan sahi mulla lekin itna bhi wo nadan kya hoga

    aawaz-e-zamir apni sun kar 'mulla' ne bana li rah-e-amal

    ye fikr kabhi us ko na hui andaz-e-harifan kya hoga

    Source:

    Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 556)

    • Author: Khaliq Anjum
      • Edition: 2010
      • Publisher: National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now