Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulshan ho nigahon mein to jannat na samajhna

Shakeel Badayuni

gulshan ho nigahon mein to jannat na samajhna

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    gulshan ho nigāhoñ meñ to jannat na samajhnā

    dam-bhar ināyat ko mohabbat na samajhnā

    kyā shai hai matā-e-ġham-o-rāhat na samajhnā

    jiinā hai to jiine haqīqat na samajhnā

    ho ḳhair tire ġham ki ham ne tire ġham se

    sīkhā hai masarrat ko masarrat na samajhnā

    nisbat nahīñ koī mohabbat ko ḳhirad se

    ai dil kabhī mafhūm-e-mohabbat na samajhnā

    ye kis ne kahā tum se ki rūdād-e-vafā ko

    sun kar bhī samajhne zarūrat na samajhnā

    vīrānī-e-māhaul ko barbādī-e-dil ko

    har daur meñ āsār-e-mohabbat na samajhnā

    sar ḳham ho agar maslahat-e-vaqt ke aage

    is jabr-e-musalsal ko ibādat na samajhnā

    dekhe jo tumheñ koī mohabbat nazar se

    lillāh 'shakīl' us ko mohabbat na samajhnā

    gulshan ho nigahon mein to jannat na samajhna

    dam-bhar ki inayat ko mohabbat na samajhna

    kya shai hai mata-e-gham-o-rahat na samajhna

    jina hai to jine ki haqiqat na samajhna

    ho KHair tere gham ki ki hum ne tere gham se

    sikha hai masarrat ko masarrat na samajhna

    nisbat hi nahin koi mohabbat ko KHirad se

    ai dil kabhi mafhum-e-mohabbat na samajhna

    ye kis ne kaha tum se ki rudad-e-wafa ko

    sun kar bhi samajhne ki zarurat na samajhna

    virani-e-mahaul ko barbaadi-e-dil ko

    har daur mein aasar-e-mohabbat na samajhna

    sar KHam ho agar maslahat-e-waqt ke aage

    is jabr-e-musalsal ko ibaadat na samajhna

    dekhe jo tumhein koi mohabbat ki nazar se

    lillah 'shakil' us ko mohabbat na samajhna

    Source:

    Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 560)

    • Author: Shakiil Badaayuuni
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now