Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadisa aisa bhi zer-e-asman hona hi tha

Naz Qadri

hadisa aisa bhi zer-e-asman hona hi tha

Naz Qadri

MORE BYNaz Qadri

    hādisa aisā bhī zer-e-āsmāñ honā thā

    barg-e-gul ko ḳhaak sho.ale ko dhuāñ honā thā

    talḳh jitnī ho haqīqat ko ayaañ honā thā

    zindagī ko saat pardoñ meñ nihāñ honā thā

    jo na sunñā thā vo afsāna bayāñ honā thā

    ya.anī apnī koshishoñ ko rā.egāñ honā thā

    reza reza TuuT kar bikhre dar-o-dīvār-e-dil

    lamha lamha ḳhāna-e-jāñ ziyāñ honā thā

    sā.at-e-be-mehr merī zindagī ko Das ga.ī

    lamha-e-saffāk ko mujh par ayaañ honā thā

    vaqt se pahle havā ne kaan meñ kuchh kah diyā

    fasl-e-gul ke aate dil ziyāñ honā thā

    jāntā huuñ naaz phir bhī sabr tāqat nahīñ

    bāġh-e-dil ko ek din nazr-e-ḳhizāñ honā thā

    hadisa aisa bhi zer-e-asman hona hi tha

    barg-e-gul ko KHak shoale ko dhuan hona hi tha

    talKH jitni ho haqiqat ko ayan hona hi tha

    zindagi ko sat pardon mein nihan hona hi tha

    jo na sunna tha wo afsana bayan hona hi tha

    yani apni koshishon ko raegan hona hi tha

    reza reza TuT kar bikhre dar-o-diwar-e-dil

    lamha lamha KHana-e-jaan ka ziyan hona hi tha

    saat-e-be-mehr meri zindagi ko Das gai

    lamha-e-saffak ko mujh par ayan hona hi tha

    waqt se pahle hawa ne kan mein kuchh kah diya

    fasl-e-gul ke aate hi dil ka ziyan hona hi tha

    jaanta hun naz phir bhi sabr ki taqat nahin

    bagh-e-dil ko ek din nazr-e-KHizan hona hi tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 510)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now