Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

Aftab Iqbal Shamim

hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    hāñptī naddī meñ dam TuuTā huā thā lahr

    vāqi.a hai ye september kisī sah-pahr

    sarsarāhaT reñgte lamhe sarkañDoñ meñ thī

    thā nasha saarī fazā meñ nāginoñ ke zahr

    thī sadaf meñ raushnī buuñd tharrā.ī huī

    jism ke andar kahīñ dhaḌkā lagā thā qahr

    dil meñ thiiñ aise fasād-āmāda dil dhaḌkaneñ

    ho bharā balvā.iyoñ se chauk jaise shahr

    āsmāñ utrā kināroñ ko milāne ke liye

    ye bhī phir dekhā ki pal TuuTā huā thā nahr

    aish-e-be-mī.ād miltī par kahāñ miltī tujhe

    merī miTTī mahak meñ shā.iba hai dahr

    hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

    waqia hai ye september ki kisi sah-pahr ka

    sarsarahaT rengte lamhe ki sarkanDon mein thi

    tha nasha sari faza mein naginon ke zahr ka

    thi sadaf mein raushni ki bund tharrai hui

    jism ke andar kahin dhaDka laga tha qahr ka

    dil mein thin aise fasad-amada dil ki dhaDkanen

    ho bhara balwaiyon se chauk jaise shahr ka

    aasman utra kinaron ko milane ke liye

    ye bhi phir dekha ki pal TuTa hua tha nahr ka

    aish-e-be-miad milti par kahan milti tujhe

    meri miTTi ki mahak mein shaiba hai dahr ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now