Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai aaftab aur mere dil ka dagh ek

Joshish Azimabadi

hai aaftab aur mere dil ka dagh ek

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    hai āftāb aur mire dil daaġh ek

    dekhā to bazm-e-ishq meñ hai ye charāġh ek

    vahdat se zuhūr hai kasrat dekh le

    haiñ phuul sau tarah ke va-lekin hai baaġh ek

    jis din se vo ḳhayāl meñ terī kamar ke hai

    anqā aur dil mire hai surāġh ek

    insāf se ba.iid hai sāqī-e-rozgār

    auroñ ko jaam saikḌoñ mujh ko ayāġh ek

    laa.eñ kahāñ se terī fikr-e-buland ham

    'joshish' nahīñ har ek dil aur dimāġh ek

    hai aaftab aur mere dil ka dagh ek

    dekha to bazm-e-ishq mein hai ye charagh ek

    wahdat hi se zuhur hai kasrat ka dekh le

    hain phul sau tarah ke wa-lekin hai bagh ek

    jis din se wo KHayal mein teri kamar ke hai

    anqa ka aur dil ka mere hai suragh ek

    insaf se baid hai saqi-e-rozgar

    auron ko jam saikDon mujh ko ayagh ek

    laen kahan se teri si fikr-e-buland hum

    'joshish' nahin har ek ka dil aur dimagh ek

    Source:

    Deewan-e-Joshish(Rekhta Website) (Pg. 143)

      • Edition: 1976
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now