Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai rah-rau ke hue hadsat ki diwar

Haneef Kaifi

hai rah-rau ke hue hadsat ki diwar

Haneef Kaifi

MORE BYHaneef Kaifi

    hai rāh-rau ke hue hādsāt dīvār

    girā.e kaun ye gard-e-hayāt dīvār

    sahar hamāre muqaddar se duur hotī ga.ī

    buland hotī ga.ī roz raat dīvār

    miTe jo ye hadd-e-fāsil to aap tak pahuñcheñ

    hamāre biich meñ haa.il hai zaat dīvār

    anā anā ke muqābil hai raah kaise khule

    ta.alluqāt meñ haa.il hai baat dīvār

    na jaane kaun se jhoñke meñ gir paḌe 'kaifī'

    shikasta hone lagī hai hayāt dīvār

    hai rah-rau ke hue hadsat ki diwar

    girae kaun ye gard-e-hayat ki diwar

    sahar hamare muqaddar se dur hoti gai

    buland hoti gai roz raat ki diwar

    miTe jo ye hadd-e-fasil to aap tak pahunchen

    hamare bich mein hail hai zat ki diwar

    ana ana ke muqabil hai rah kaise khule

    talluqat mein hail hai baat ki diwar

    na jaane kaun se jhonke mein gir paDe 'kaifi'

    shikasta hone lagi hai hayat ki diwar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now