hairat mein thi nazar sar-e-bazar-e-aina
hairat meñ thī nazar sar-e-bāzār-e-ā.ina
ik aa.ina thā ḳhud hī ḳharīdār-e-ā.ina
vo ā.ina-sifat sar-e-dīvār bhī hai ḳhud
hai sar-ba-sar vahī pas-e-dīvār-e-ā.ina
bas ahl-e-zarf hī ko ijāzat hai diid kī
har aañkh ke liye nahīñ dīdār-e-ā.ina
har dam vo misl-e-ā.ina shaffāf hī rahā
dhuñdlā na paayā koī talabgār-e-ā.ina
haq-go hai sar-basar vo haqīqat-shanās hai
zāhir har ik bashar pe hai kirdār-e-ā.ina
hai us ke aage auj-e-surayyā bhī sar-nigūñ
kuchh is qadar buland hai me'yār-e-ā.ina
hogā qadam qadam pe vo duniyā meñ surḳh-rū
rusvā na hogā koī vafādār-e-ā.ina
'rā'nā' jo saaf aa.ina dil kā rakhe koī
paa.e vahī jazā sar-e-darbār-e-ā.ina
hairat mein thi nazar sar-e-bazar-e-aina
ek aaina tha KHud hi KHaridar-e-aina
wo aaina-sifat sar-e-diwar bhi hai KHud
hai sar-ba-sar wahi pas-e-diwar-e-aina
bas ahl-e-zarf hi ko ijazat hai did ki
har aankh ke liye nahin didar-e-aina
har dam wo misl-e-aina shaffaf hi raha
dhundla na paya koi talabgar-e-aina
haq-go hai sar-basar wo haqiqat-shanas hai
zahir har ek bashar pe hai kirdar-e-aina
hai us ke aage auj-e-surayya bhi sar-nigun
kuchh is qadar buland hai me'yar-e-aina
hoga qadam qadam pe wo duniya mein surKH-ru
ruswa na hoga koi wafadar-e-aina
'ra'na' jo saf aaina dil ka rakhe koi
pae wahi jaza sar-e-darbar-e-aina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.