aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum bikhar jaenge naghmon-bhare KHwabon ki tarah

Prem Warbartani

hum bikhar jaenge naghmon-bhare KHwabon ki tarah

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    ham bikhar jā.eñge naġhmoñ-bhare ḳhvāboñ tarah

    mutriba! chheḌ kabhī ham ko rabāboñ tarah

    ek parde meñ haiñ dar-parda bahut se parde

    terī yādeñ haiñ pur-asrār hijāboñ tarah

    zarf baat hai kāñToñ ḳhalish dil meñ liye

    log milte haiñ tar-o-tāza gulāboñ tarah

    jin ke sīnoñ meñ haiñ mahfūz mohabbat ke ḳhutūt

    ham haiñ kuchh aisī dil-āvez kitāboñ tarah

    dil thā vo TuuTā huā tāj-mahal thā kyā thā

    chāñdnī DhūñD rahī hai jise ḳhvāboñ tarah

    pyaas buuñd jo chhalke to samundar ban jaa.e

    har nafas ḳhvāb dikhātā hai sarāboñ tarah

    'prem' shā.er to shahanshāh huā karte haiñ!

    tum magar phirte ho kyuuñ ḳhāna-ḳharāboñ tarah

    hum bikhar jaenge naghmon-bhare KHwabon ki tarah

    mutriba! chheD kabhi hum ko rababon ki tarah

    ek parde mein hain dar-parda bahut se parde

    teri yaaden hain pur-asrar hijabon ki tarah

    zarf ki baat hai kanTon ki KHalish dil mein liye

    log milte hain tar-o-taza gulabon ki tarah

    jin ke sinon mein hain mahfuz mohabbat ke KHutut

    hum hain kuchh aisi dil-awez kitabon ki tarah

    dil tha wo TuTa hua taj-mahal tha kya tha

    chandni DhunD rahi hai jise KHwabon ki tarah

    pyas ki bund jo chhalke to samundar ban jae

    har nafas KHwab dikhata hai sarabon ki tarah

    'prem' shaer to shahanshah hua karte hain!

    tum magar phirte ho kyun KHana-KHarabon ki tarah

    Source:

    Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 416)

    • Author: Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
      • Publisher: Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002
      • Year of Publication: July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now