hum donon ek duje ke sath KHush nahin the
ham donoñ ek duuje ke saath ḳhush nahīñ the
az-jism saath rahte dil se kahīñ kahīñ the
ik aisā vaqt bhī thā vo hāl-e-dostī thā
ham ek dūsre ke goyā makāñ-makīñ the
ik zaḳhm se bhī us ne ham ko nahīñ navāzā
ham us ke āstāñ par barsoñ se ḳham-jabīñ the
apnī talāsh meñ ham bhaTke tamām 'ālam
ab ham jo mil ga.e haiñ lagtā hai ham yahīñ the
kyā ho ga.e ḳhudāyā vo shahr-e-dil-barāna
un dil-barāna shahroñ ke log kyā hasīñ the
hum donon ek duje ke sath KHush nahin the
az-jism sath rahte dil se kahin kahin the
ek aisa waqt bhi tha wo haal-e-dosti tha
hum ek dusre ke goya makan-makin the
ek zaKHm se bhi us ne hum ko nahin nawaza
hum us ke aastan par barson se KHam-jabin the
apni talash mein hum bhaTke tamam 'alam
ab hum jo mil gae hain lagta hai hum yahin the
kya ho gae KHudaya wo shahr-e-dil-barana
un dil-barana shahron ke log kya hasin the
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 54)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.