Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ghair samajhte use aisa bhi nahin KHair

Hamida Shaheen

hum ghair samajhte use aisa bhi nahin KHair

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    ham ġhair samajhte use aisā bhī nahīñ ḳhair

    lekin vo kisī nahīñ apnā bhī nahīñ ḳhair

    jo sochte rahte haiñ vo karnā nahīñ mumkin

    karne ke irāde se to sochā bhī nahīñ ḳhair

    shohrā hai ki rusvā.ī tasdīq hai vo shaḳhs

    shohrat bharosa koī hotā bhī nahīñ ḳhair

    kuchh ban ke dikhāne tamannā banā kyā

    itnī tamannā meñ to bantā bhī nahīñ ḳhair

    ham us ke liye apnī nazar meñ bure Thahreñ

    achchhā hai vo achchhā bha.ī itnā bhī nahīñ ḳhair

    kuchh saiñt ke rakhne hameñ shauq nahīñ thā

    kuchh saiñt ke rakhne ke liye thā bhī nahīñ ḳhair

    go ek aziyyat hai tirā rañg-e-taġhāful

    ye rañg kisī aur pe sajtā bhī nahīñ ḳhair

    us shaḳhs pe tanhā.ī to utregī balā

    jo hai bhī nahīñ ḳhair hai lagtā bhī nahīñ ḳhair

    sab ḳhair ho sab ḳhair ho ai majma-e-zāhir

    ham bhiiḌ hissa nahīñ tanhā bhī nahīñ ḳhair

    ye ḳhair faqat lafz nahīñ fahm-o-yaqīñ hai

    jo ḳhair samajhtā nahīñ hotā bhī nahīñ ḳhair

    hum ghair samajhte use aisa bhi nahin KHair

    lekin wo kisi ka nahin apna bhi nahin KHair

    jo sochte rahte hain wo karna nahin mumkin

    karne ke irade se to socha bhi nahin KHair

    shohra hai ki ruswai ki tasdiq hai wo shaKHs

    shohrat ka bharosa koi hota bhi nahin KHair

    kuchh ban ke dikhane ki tamanna ka bana kya

    itni si tamanna mein to banta bhi nahin KHair

    hum us ke liye apni nazar mein bure Thahren

    achchha hai wo achchha bhai itna bhi nahin KHair

    kuchh saint ke rakhne ka hamein shauq nahin tha

    kuchh saint ke rakhne ke liye tha bhi nahin KHair

    go ek aziyyat hai tera rang-e-taghaful

    ye rang kisi aur pe sajta bhi nahin KHair

    us shaKHs pe tanhai to utregi bala ki

    jo hai bhi nahin KHair hai lagta bhi nahin KHair

    sab KHair ho sab KHair ho ai majma-e-zahir

    hum bhiD ka hissa nahin tanha bhi nahin KHair

    ye KHair faqat lafz nahin fahm-o-yaqin hai

    jo KHair samajhta nahin hota bhi nahin KHair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now