hum hain qafas hai aur KHayal aashiyan ke hain
ham haiñ qafas hai aur ḳhayāl āshiyāñ ke haiñ
saare ye gul khilā.e hue bāġhbāñ ke haiñ
har zarra kū-e-yār kā gardish-pasand hai
hai to zamīn-rang magar āsmāñ ke haiñ
gum-gashtgān-e-rāh-e-haqīqat kā haal kyā
ḳhud rahnumā vo ḳhizr-e-rah-e-lā-makāñ ke haiñ
manzil kī kuchh ḳhabar bhī hai kosoñ nikal ga.ī
ġhurbat-nasīb tere irāde kahāñ ke haiñ
'bismil' se kah do aaj 'ayāñ kar deñ rāz-e-dil
kyoñ zer-e-bār-e-minnat-e-zabt-e-fuġhāñ ke haiñ
hum hain qafas hai aur KHayal aashiyan ke hain
sare ye gul khilae hue baghban ke hain
har zarra ku-e-yar ka gardish-pasand hai
hai to zamin-rang magar aasman ke hain
gum-gashtgan-e-rah-e-haqiqat ka haal kya
KHud rahnuma wo KHizr-e-rah-e-la-makan ke hain
manzil ki kuchh KHabar bhi hai koson nikal gai
ghurbat-nasib tere irade kahan ke hain
'bismil' se kah do aaj 'ayan kar den raaz-e-dil
kyon zer-e-bar-e-minnat-e-zabt-e-fughan ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.