humne apna aap uThae kitne jangal kaT diye
ham ne apnā aap uThā.e kitne jangal kaaT diye
vīrānī ke phal khaa.e aur raat ghanī ke giit sune
kaun musalsal Dhol uThā.e mujh meñ mātam kartā hai
koī udāsī raqs-kunāñ hai vahshat ke ghuñghrū pahne
sannāTe ke lams badan meñ sihran paidā karte haiñ
zehn meñ khulne lagte haiñ phir band-e-qabā āvāzoñ ke
ik sūraj ġham-ḳhvār kisī kā aur kisī kā shaidā.ī
har manzar meñ Duub gayā phir aisā Duubā hook uThe
bastī bastī ek tamāsha bikhrā hai chaurāhoñ par
jis ne jitnī aa.heñ pheñkīñ us ko utne daam mile
phir se mub.ham lafz uThā.e phir mātam mazmūn kiyā
āvāzoñ par patthar maare ġhair-zarūrī bain kiye
hum ne apna aap uThae kitne jangal kaT diye
virani ke phal khae aur raat ghani ke git sune
kaun musalsal Dhol uThae mujh mein matam karta hai
koi udasi raqs-kunan hai wahshat ke ghunghru pahne
sannaTe ke lams badan mein sihran paida karte hain
zehn mein khulne lagte hain phir band-e-qaba aawazon ke
ek suraj gham-KHwar kisi ka aur kisi ka shaidai
har manzar mein Dub gaya phir aisa Duba hook uThe
basti basti ek tamasha bikhra hai chaurahon par
jis ne jitni aahen phenkin us ko utne dam mile
phir se mubham lafz uThae phir matam mazmun kiya
aawazon par patthar mare ghair-zaruri bain kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.