aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne pai lazzat-e-didar lekin dur se

Muztar Khairabadi

humne pai lazzat-e-didar lekin dur se

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    ham ne paa.ī lazzat-e-dīdār lekin duur se

    un sūrat dekh sau baar lekin duur se

    vo dikhāte haiñ hameñ ruḳhsār lekin duur se

    is matlab hai ki kar lo pyaar lekin duur se

    us ne jāñchā merā dard-e-dil magar aayā na paas

    us ne dekhā merā hāl-e-zār lekin duur se

    rauzan-e-dīvār se hasrat bharī āñkheñ laḌīñ

    ho ga.iiñ un se nigāheñ chaar lekin duur se

    us ne aane kiyā hai qaul lekin tā-ba-dar

    us ne milne kiyā iqrār lekin duur se

    paas 'muztar' kis tarah jaate hujūm-e-yās meñ

    ho gayā un hameñ dīdār lekin duur se

    hum ne pai lazzat-e-didar lekin dur se

    un ki surat dekh li sau bar lekin dur se

    wo dikhate hain hamein ruKHsar lekin dur se

    is ka matlab hai ki kar lo pyar lekin dur se

    us ne jaancha mera dard-e-dil magar aaya na pas

    us ne dekha mera haal-e-zar lekin dur se

    rauzan-e-diwar se hasrat bhari aankhen laDin

    ho gain un se nigahen chaar lekin dur se

    us ne aane ka kiya hai qaul lekin ta-ba-dar

    us ne milne ka kiya iqrar lekin dur se

    pas 'muztar' kis tarah jate hujum-e-yas mein

    ho gaya un ka hamein didar lekin dur se

    Source:

    Khirman (Part-1) (Pg. 233)

    • Author: Muztar Khairabadi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Javed Akhtar
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now