aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum qalandar hain hamein aata hai faqa karna

Mohammad Ali Sahil

hum qalandar hain hamein aata hai faqa karna

Mohammad Ali Sahil

MORE BYMohammad Ali Sahil

    ham qalandar haiñ hameñ aatā hai faaqa karnā

    ham ne sīkhā nahīñ koī tamāsha karnā

    rāz-dāñ ban ke raho kuchh to salīqe sīkho

    raaz par itnā bhī mushkil nahīñ parda karnā

    yuuñ dekhā hai ka.ī baar tirī mahfil meñ

    kitnā āsāñ hai kisī shaḳhs ko rusvā karnā

    yaad hai ḳhuub mujhe mere liye rab ke huzūr

    maañ ro ro ke duā karnā vo sajda karnā

    āñsuoñ ko kabhī girne na diyā palkoñ se

    mujh ko aayā nahīñ pyaar ko rusvā karnā

    ishq ye kaun manzil pe mujhe le aayā

    aa.ina sāmne rakhnā tujhe sochā karnā

    apne ajdād se sāhil ye hunar aayā hai

    rāh-e-haq meñ na kabhī jaan parvā karnā

    hum qalandar hain hamein aata hai faqa karna

    hum ne sikha hi nahin koi tamasha karna

    raaz-dan ban ke raho kuchh to saliqe sikho

    raaz par itna bhi mushkil nahin parda karna

    yun hi dekha hai kai bar teri mahfil mein

    kitna aasan hai kisi shaKHs ko ruswa karna

    yaad hai KHub mujhe mere liye rab ke huzur

    man ka ro ro ke dua karna wo sajda karna

    aansuon ko kabhi girne na diya palkon se

    mujh ko aaya hi nahin pyar ko ruswa karna

    ishq ye kaun si manzil pe mujhe le aaya

    aaina samne rakhna tujhe socha karna

    apne ajdad se sahil ye hunar aaya hai

    rah-e-haq mein na kabhi jaan ki parwa karna

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Ali Sahil

    Mohammad Ali Sahil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now