aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum waqt ke ham-safar hi Thahre

Farigh Bukhari

hum waqt ke ham-safar hi Thahre

Farigh Bukhari

MORE BYFarigh Bukhari

    ham vaqt ke ham-safar Thahre

    kab tak koī apne ghar Thahre

    hai kokh koī sadaf nahīñ hai

    lāzim to nahīñ guhar Thahre

    leñge vo lamha oḌh kar ham

    ai kaash vo lamha bhar Thahre

    ūñchī thiiñ uḌāneñ jin vo bhī

    zindagī-e-bām-o-dar Thahre

    is shahr meñ zindagī girāñ hai

    jo Thahre vo daar par Thahre

    sūraj thā ki chāñd thā ki taare

    sab jāh-parast udhar Thahre

    ham log vo varaq-pā haiñ 'fāriġh'

    jannat meñ bhī muḳhtasar Thahre

    hum waqt ke ham-safar hi Thahre

    kab tak koi apne ghar hi Thahre

    hai kokh koi sadaf nahin hai

    lazim to nahin guhar hi Thahre

    ji lenge wo lamha oDh kar hum

    ai kash wo lamha bhar hi Thahre

    unchi thin uDanen jin ki wo bhi

    zindagi-e-baam-o-dar hi Thahre

    is shahr mein zindagi giran hai

    jo Thahre wo dar par hi Thahre

    suraj tha ki chand tha ki tare

    sab jah-parast udhar hi Thahre

    hum log wo waraq-pa hain 'farigh'

    jannat mein bhi muKHtasar hi Thahre

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 175)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now