aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare ahd ka manzar ajib manzar hai

Hafeez Banarasi

hamare ahd ka manzar ajib manzar hai

Hafeez Banarasi

MORE BYHafeez Banarasi

    hamāre ahd manzar ajiib manzar hai

    bahār chehre pe dil meñ ḳhizāñ daftar hai

    na ham-safar koī naqsh-e-pā rahbar hai

    junūñ raah meñ kuchh hai to jaan Dar hai

    har ek lamha hameñ Dar hai TuuT jaane

    ye zindagī hai ki bosīda kāñch ghar hai

    isī se laḌte hue ek umr biit ga.ī

    mirī anā mire rāste patthar hai

    tamām jism haiñ jis ke ḳhayāl meñ larzāñ

    vo tīrgī nahīñ raushnī ḳhanjar hai

    maiñ ek qatra huuñ lekin mirā nasīb to dekh

    ki be-qarār mire ġham meñ ik samundar hai

    usī ke pīchhe ravāñ huuñ maiñ pāgaloñ tarah

    vo ek shai jo mirī dastaras se bāhar hai

    isī ḳhayāl se miltā hai kuchh sakūñ dil ko

    ki nā-subūrī to is daur muqaddar hai

    kabhī to is se mulāqāt ghaḌī aa.e

    jo mere dil meñ basā hai jo mere andar hai

    uqāb-e-zulm ke panje abhī kahāñ TuuTe

    abhī to fāḳhta-e-aman ḳhuun meñ tar hai

    ḳhudā maar ho is jehl-e-āgahī pe 'hafīz'

    ba-zo.am-e-ḳhud yahāñ har shaḳhs ik payambar hai

    hamare ahd ka manzar ajib manzar hai

    bahaar chehre pe dil mein KHizan ka daftar hai

    na ham-safar na koi naqsh-e-pa na rahbar hai

    junun ki rah mein kuchh hai to jaan ka Dar hai

    har ek lamha hamein Dar hai TuT jaane ka

    ye zindagi hai ki bosida kanch ka ghar hai

    isi se laDte hue ek umr bit gai

    meri ana hi mere raste ka patthar hai

    tamam jism hain jis ke KHayal mein larzan

    wo tirgi ka nahin raushni ka KHanjar hai

    main ek qatra hun lekin mera nasib to dekh

    ki be-qarar mere gham mein ek samundar hai

    usi ke pichhe rawan hun main pagalon ki tarah

    wo ek shai jo meri dastaras se bahar hai

    isi KHayal se milta hai kuchh sakun dil ko

    ki na-suburi to is daur ka muqaddar hai

    kabhi to is se mulaqat ki ghaDi aae

    jo mere dil mein basa hai jo mere andar hai

    uqab-e-zulm ke panje abhi kahan TuTe

    abhi to faKHta-e-aman KHun mein tar hai

    KHuda ki mar ho is jehl-e-agahi pe 'hafiz'

    ba-zoam-e-KHud yahan har shaKHs ek payambar hai

    Source:

    Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 313)

    • Author: Hafeez Banarsi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Hafeez Banarsi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now