aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari bechaini uski palken bhigo gai hai

Sabir

hamari bechaini uski palken bhigo gai hai

Sabir

MORE BYSabir

    hamārī bechainī us palkeñ bhigo ga.ī hai

    ye raat yuuñ ban rahī hai jaise ki so ga.ī hai

    diye the kaalī ghaTā ko ham ne udhār aañsū

    kise kaheñ ab ki saarī pūñjī Dubo ga.ī hai

    ham us ḳhātir bachā na pā.eñge umr apnī

    fuzūl-ḳharchī ham ko aadat ho ga.ī hai

    vo ek sāhil ki jis pe tum ḳhud ko DhūñDte ho

    vahīñ pe ik shaam mere hisse kho ga.ī hai

    maiñ yuuñ mohre baḌhā rahā huuñ jhijak jhijak kar

    ḳhabar use bhī hai baazī vo haar to ga.ī hai

    hamari bechaini us ki palken bhigo gai hai

    ye raat yun ban rahi hai jaise ki so gai hai

    diye the kali ghaTa ko hum ne udhaar aansu

    kise kahen ab ki sari punji Dubo gai hai

    hum us ki KHatir bacha na paenge umr apni

    fuzul-KHarchi ki hum ko aadat si ho gai hai

    wo ek sahil ki jis pe tum KHud ko DhunDte ho

    wahin pe ek sham mere hisse ki kho gai hai

    main yun hi mohre baDha raha hun jhijak jhijak kar

    KHabar use bhi hai bazi wo haar to gai hai

    RECITATIONS

    Sabir

    Sabir,

    Sabir

    hamari bechaini uski palken bhigo gai hai Sabir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now