aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya

Farah iqbal

hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    hameñ to saath chalne hunar ab tak nahīñ aayā

    diyā apne muqaddar nazar ab tak nahīñ aayā

    thiiñ jis bādal ke raste par havā muntazir āñkheñ

    vo shahroñ tak to aayā thā idhar ab tak nahīñ aayā

    na jaane jañgaloñ meñ ham mile kitne daraḳhtoñ se

    ghanā jis lage saaya shajar ab tak nahīñ aayā

    tazabzub ke añdheroñ meñ bhaTaktā hai vo ik va.ada

    palaT kar jis ko aanā thā vo ghar ab tak nahīñ aayā

    sajānā chhoḌ de phūloñ ko in chāñdī se bāloñ meñ

    falak par vo sitārā ik agar ab tak nahīñ aayā

    bhulā kar bas zarā der sajdoñ ibādat ko

    ye socho kyuuñ duāoñ meñ asar ab tak nahīñ aayā

    jahāñ lākhoñ mohabbat ke charāġhoñ se ujālā ho

    'farah' raushan kisī dil vo dar ab tak nahīñ aayā

    hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya

    diya apne muqaddar ka nazar ab tak nahin aaya

    thin jis baadal ke raste par hawa ki muntazir aankhen

    wo shahron tak to aaya tha idhar ab tak nahin aaya

    na jaane jangalon mein hum mile kitne daraKHton se

    ghana jis ka lage saya shajar ab tak nahin aaya

    tazabzub ke andheron mein bhaTakta hai wo ek wada

    palaT kar jis ko aana tha wo ghar ab tak nahin aaya

    sajaana chhoD de phulon ko in chandi se baalon mein

    falak par wo sitara ek agar ab tak nahin aaya

    bhula kar bas zara si der sajdon ki ibaadat ko

    ye socho kyun duaon mein asar ab tak nahin aaya

    jahan lakhon mohabbat ke charaghon se ujala ho

    'farah' raushan kisi dil ka wo dar ab tak nahin aaya

    Source:

    Koi bhi rut ho (Pg. 165)

    • Author: Farah iqbal
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now