Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamesha ek si raftar ho aisa nahin hota

Nazr Fatmi

hamesha ek si raftar ho aisa nahin hota

Nazr Fatmi

MORE BYNazr Fatmi

    hamesha ek raftār ho aisā nahīñ hotā

    mire haath meñ patvār ho aisā nahīñ hotā

    maiñ saare pech-o-ḳham ko rafta rafta jaan jā.ūñgā

    koī rasta sadā dushvār ho aisā nahīñ hotā

    samājī tāne-bāne meñ judā mansab judā qadreñ

    sabhī ek me.aar ho aisā nahīñ hotā

    chalo aao mileñ baiTheñ kareñ kuchh pyaar bāteñ

    hamesha talḳh guftār ho aisā nahīñ hotā

    tum apne ḳhanjar-o-nashtar liye tayyār baiThe ho

    abhī siina bhī tayyār ho aisā nahīñ hotā

    ho vaz.a muḳhtalif jab Topiyoñ 'nazr' to suniye

    vo majlis ḳhatm be-takrār ho aisā nahīñ hotā

    hamesha ek si raftar ho aisa nahin hota

    mere hi hath mein patwar ho aisa nahin hota

    main sare pech-o-KHam ko rafta rafta jaan jaunga

    koi rasta sada dushwar ho aisa nahin hota

    samaji tane-bane mein juda mansab juda qadren

    sabhi ka ek hi mear ho aisa nahin hota

    chalo aao milen baiThen karen kuchh pyar ki baaten

    hamesha talKH hi guftar ho aisa nahin hota

    tum apne KHanjar-o-nashtar liye tayyar baiThe ho

    abhi hi sina bhi tayyar ho aisa nahin hota

    ho waza muKHtalif jab Topiyon ki 'nazr' to suniye

    wo majlis KHatm be-takrar ho aisa nahin hota

    Source:

    Mumkinat (Pg. 67)

    • Author: Nazr Fatmi
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now