Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagDa hamesha wafa-o-mohabbat ka hullaD

Nooh Narvi

hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagDa hamesha wafa-o-mohabbat ka hullaD

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    hamesha tamannā-o-hasrat jhagḌā hamesha vafā-o-mohabbat hullaḌ

    thame kyā tabī'at ruke kis tarah dil ye aafat vo fitna ye āñdhī vo jhakkaḌ

    jo rāz-e-mohabbat ko jānegā koī to ye jaan le vo machā degā gaḌbaḌ

    nazar tarah baḌh nazar tarah ruk nazar tarah mil nazar tarah laḌ

    mire dil ke hāthoñ se bahr-e-vafā meñ mirī zindagī meñ na ho jaa.e gaḌbaḌ

    kabhī kasrat-e-ranj-o-ġham thapeḌā kabhī josh-e-ummīd-o-hasrat ojhaḌ

    kahāñ maiñ huuñ aisā ki mehrbāñ ho kahāñ qismat aisī ki āsāñ ho mushkil

    agar aur gāhak nahīñ koī terā to ai ḳhanjar-e-nāz mere gale paḌ

    bashar kyā farishte jo pīTeñ DhiñDhorā to kyuuñ kar chhupe raaz kam-baḳht dil

    idhar aah niklī hamārī zabāñ se udhar mach gayā saarī duniyā meñ hullaḌ

    sar-e-ham-sarī husn-o-nāz-o-adā meñ na rakhtā thā koī na rakkhegā koī

    tirā aks-e-ā.īna hai aur hai jo laḌnā hai tujh ko to apne se laḌ

    bahār-e-javānī hayāt-e-javānī na ye ġhair-fānī na vo ġhair-fānī

    urūs-e-chaman utartā hai gahnā ḳhizāñ ke zamāne meñ hotī hai patjhaḌ

    hazāroñ mare haiñ hazāroñ mare haiñ hazāroñ mareñge hazāroñ miTeñge

    vo insāñ nahīñ us ko samjho farishta jo bardāsht kar le mohabbat ojhaḌ

    vo 'arz-e-tamannā ko fariyād samjhe vo fariyād ko ġham rūdād samjhe

    zarā mirī baat thī lekin us huā rafta rafta kahāñ tak batañgaḌ

    udhar aish-o-ishrat idhar yās-o-hasrat jahāñ vaale dekheñ jahāñ do-rañgī

    kahīñ koī paiham bachātā hai baġhleñ koī pīTtā hai kahīñ sar dhaḌā-dhaḌ

    mohabbat ne chhoḌā ye turfa shagūfa bahār-e-javānī bhī dil ne na dekhī

    abhī phūlne-phalne ke din kahāñ the magar kaT ga.ī naḳhl-e-ummīd jaḌ

    jo ik jañg-jū idrāk sulh-jū ho to jhagḌā na uTThe bakheḌā na uThe

    dil-o-dil-rubā meñ nibhe kyā mohabbat udhar vo bhī ziddī idhar ye bhī akkhaḌ

    kiye saikḌoñ ahd-o-paimān-e-ulfat magar ḳhair se koī sachchā na niklā

    vo kahte haiñ milne ko ab hashr ke din kahīñ ho na jaa.e kuchh us din bhī gaḌbaḌ

    muqaddar meñ likkhā thā hun kar bigaḌnā koī kyuuñ na martā koī kyuuñ na uThtā

    zamīñ-doz ahl-e-zamīñ ho ga.e sab paḌī āsmāñ se vo sar par do-hatthaḌ

    jo nāvak chale aur talvār niklī to qaa.em rahā maiñ 'ahd-e-vafā par

    kisī ne kisī ko bhī phir kar na dekhā paḌī imtihāñ-ghar meñ kuchh aisī bhāgaḌ

    samajhte haiñ āġhāz-o-anjām apnā mah-o-mehr kyā ā.eñge tere aage

    idhar se udhar un phir jā.egā muñh lagā.egī sharmindagī aisā thappaḌ

    ḳhayāl-o-tasavvur meñ hargiz na laanā hañsī dil-lagī meñ hamesha uḌānā

    mire da.av-e-ishq qadr kyā ho vo is ko samajhte haiñ majzūb baḌ

    jahāñ dekhtā huuñ vahāñ dekhtā huuñ jidhar dekhtā huuñ udhar dekhtā huuñ

    mohabbat shorish mohabbat ūdham mohabbat ġhauġhā mohabbat hullaḌ

    mazā jab hai aapas meñ kuchh jang bhī ho mazā jang meñ jab hai kuchh sulh bhī ho

    dikhā de talavvun apne tamāshā idhar laḌ udhar mil idhar mil udhar laḌ

    bahāyā mazāmīn tum ne dariyā ġhazal meñ bahut ḳhuub ash'ār likkhe

    zamāne ko ai 'nūh' hairat na kyuuñ ho ki tūfān aisā zamīn aisī gaḌbaḌ

    hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagDa hamesha wafa-o-mohabbat ka hullaD

    thame kya tabi'at ruke kis tarah dil ye aafat wo fitna ye aandhi wo jhakkaD

    jo raaz-e-mohabbat ko jaanega koi to ye jaan le wo macha dega gaDbaD

    nazar ki tarah baDh nazar ki tarah ruk nazar ki tarah mil nazar ki tarah laD

    mere dil ke hathon se bahr-e-wafa mein meri zindagi mein na ho jae gaDbaD

    kabhi kasrat-e-ranj-o-gham ka thapeDa kabhi josh-e-ummid-o-hasrat ki ojhaD

    kahan main hun aisa ki tu mehrban ho kahan qismat aisi ki aasan ho mushkil

    agar aur gahak nahin koi tera to ai KHanjar-e-naz mere gale paD

    bashar kya farishte jo piTen DhinDhora to kyun kar chhupe raaz kam-baKHt dil ka

    idhar aah nikli hamari zaban se udhar mach gaya sari duniya mein hullaD

    sar-e-ham-sari husn-o-naz-o-ada mein na rakhta tha koi na rakkhega koi

    tera aks-e-aina hai aur tu hai jo laDna hai tujh ko to apne hi se laD

    bahaar-e-jawani hayat-e-jawani na ye ghair-fani na wo ghair-fani

    urus-e-chaman ka utarta hai gahna KHizan ke zamane mein hoti hai patjhaD

    hazaron mare hain hazaron mare hain hazaron marenge hazaron miTenge

    wo insan nahin us ko samjho farishta jo bardasht kar le mohabbat ki ojhaD

    wo 'arz-e-tamanna ko fariyaad samjhe wo fariyaad ko gham ki rudad samjhe

    zara si meri baat thi lekin us ka hua rafta rafta kahan tak batangaD

    udhar aish-o-ishrat idhar yas-o-hasrat jahan wale dekhen jahan ki do-rangi

    kahin koi paiham bachata hai baghlen koi piTta hai kahin sar dhaDa-dhaD

    mohabbat ne chhoDa ye turfa shagufa bahaar-e-jawani bhi dil ne na dekhi

    abhi phulne-phalne ke din kahan the magar kaT gai naKHl-e-ummid ki jaD

    jo ek jang-ju idrak sulh-ju ho to jhagDa na uTThe bakheDa na uThe

    dil-o-dil-ruba mein nibhe kya mohabbat udhar wo bhi ziddi idhar ye bhi akkhaD

    kiye saikDon ahd-o-paiman-e-ulfat magar KHair se koi sachcha na nikla

    wo kahte hain milne ko ab hashr ke din kahin ho na jae kuchh us din bhi gaDbaD

    muqaddar mein likkha tha hun kar bigaDna koi kyun na marta koi kyun na uThta

    zamin-doz ahl-e-zamin ho gae sab paDi aasman se wo sar par do-hatthaD

    jo nawak chale aur talwar nikli to qaem raha main hi 'ahd-e-wafa par

    kisi ne kisi ko bhi phir kar na dekha paDi imtihan-ghar mein kuchh aisi bhagaD

    samajhte hain aaghaz-o-anjam apna mah-o-mehr kya aaenge tere aage

    idhar se udhar un ka phir jaega munh lagaegi sharmindagi aisa thappaD

    KHayal-o-tasawwur mein hargiz na lana hansi dil-lagi mein hamesha uDana

    mere daw-e-ishq ki qadr kya ho wo is ko samajhte hain majzub ki baD

    jahan dekhta hun wahan dekhta hun jidhar dekhta hun udhar dekhta hun

    mohabbat ki shorish mohabbat ki udham mohabbat ka ghaugha mohabbat ka hullaD

    maza jab hai aapas mein kuchh jang bhi ho maza jang mein jab hai kuchh sulh bhi ho

    dikha de talawwun ka apne tamasha idhar laD udhar mil idhar mil udhar laD

    bahaya mazamin ka tum ne dariya ghazal mein bahut KHub ash'ar likkhe

    zamane ko ai 'nuh' hairat na kyun ho ki tufan aisa zamin aisi gaDbaD

    Source:

    Ejaz-e-Nooh (Pg. ebook-187 page-82)

    • Author: Mohammad Nooh Sahab Nooh
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now