Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hans ke parda jo uThata to gulistan hota

Vafa Barahi

hans ke parda jo uThata to gulistan hota

Vafa Barahi

MORE BYVafa Barahi

    hañs ke parda jo uThātā to gulistāñ hotā

    aur rang-e-jahāñ tujh se numāyāñ hotā

    hausla pūchh lo har zarre se vahshat mirī

    nigah-e-hosh jo paḌtī to bayābāñ hotā

    fasl-e-gul meñ jo kahīñ dāman-e-gardūñ hilāl

    haath aatā to hamārā garebāñ hotā

    aa.ine meñ vo nazar dekh rahe haiñ apnī

    dil agar pech meñ hotā to ye mīzāñ hotā

    mil ga.e ḳhaak meñ āñkhoñ se nikal kar nāhaq

    ashk-e-pur-ḳhūñ ke liye aap dāmāñ hotā

    nashtar-e-ishq-o-mohabbat ko nikālā maiñ ne

    dil meñ rahtā to ye paivast-e-rag-e-jāñ hotā

    dil mahrūmī-e-taqdīr sadma hai mujhe

    ye jo gulshan na huā thā to bayābāñ hotā

    maiñ agar daaġh bhī thā dāman-e-hastī ke liye

    aap ke haath se miT jaane sāmāñ hotā

    ālam-e-yās meñ sad-shukr ki aa.ī mujhe maut

    is bure vaqt meñ thā kaun jo pursāñ hotā

    pūjtā hai kisī kāfir ko 'vafā' kyoñ din-rāt

    is se behtar to yahī thā ki musalmāñ hotā

    hans ke parda jo uThata to gulistan hota

    aur hi rang-e-jahan tujh se numayan hota

    hausla puchh lo har zarre se wahshat ka meri

    nigah-e-hosh jo paDti to bayaban hota

    fasl-e-gul mein jo kahin daman-e-gardun ka hilal

    hath aata to hamara hi gareban hota

    aaine mein wo nazar dekh rahe hain apni

    dil agar pech mein hota to ye mizan hota

    mil gae KHak mein aankhon se nikal kar nahaq

    ashk-e-pur-KHun ke liye aap ka daman hota

    nashtar-e-ishq-o-mohabbat ko nikala main ne

    dil mein rahta to ye paiwast-e-rag-e-jaan hota

    dil ki mahrumi-e-taqdir ka sadma hai mujhe

    ye jo gulshan na hua tha to bayaban hota

    main agar dagh bhi tha daman-e-hasti ke liye

    aap ke hath se miT jaane ka saman hota

    aalam-e-yas mein sad-shukr ki aai mujhe maut

    is bure waqt mein tha kaun jo pursan hota

    pujta hai kisi kafir ko 'wafa' kyon din-raat

    is se behtar to yahi tha ki musalman hota

    Source:

    Nikhat-e-Gul (Pg. 28)

    • Author: Vafa Barahi
      • Publisher: Pustak Bhandar, Patna
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now