Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai

Azhar Faragh

hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai

Azhar Faragh

MORE BYAzhar Faragh

    hañsne-hañsāne paḌhne-paḌhāne umr hai

    ye umr kab hamāre kamāne umr hai

    le aa.ī chhat pe kyuuñ mujhe be-vaqt ghuTan

    terī to ḳhair baam pe aane umr hai

    tujh se bichhaḌ ke bhī tujhe miltā rahūñgā maiñ

    mujh se tavīl mere zamāne umr hai

    aulād tarah hai mohabbat mujh pe haq

    jab tak kisī bojh uThāne umr hai

    ġhurbat ko kyuuñ na maiñ bhī sharārat naam duuñ

    dīvār-o-dar pe phuul banāne umr hai

    koī muzā.iqa nahīñ piirī ke ishq meñ

    vaise bhī ye savāb kamāne umr hai

    hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai

    ye umr kab hamare kamane ki umr hai

    le aai chhat pe kyun mujhe be-waqt ki ghuTan

    teri to KHair baam pe aane ki umr hai

    tujh se bichhaD ke bhi tujhe milta rahunga main

    mujh se tawil mere zamane ki umr hai

    aulad ki tarah hai mohabbat ka mujh pe haq

    jab tak kisi ka bojh uThane ki umr hai

    ghurbat ko kyun na main bhi shararat ka nam dun

    diwar-o-dar pe phul banane ki umr hai

    koi muzaiqa nahin piri ke ishq mein

    waise bhi ye sawab kamane ki umr hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now